Wednesday, May 8, 2024
HomeHyderabadHyderabad Metro, Delhi ke baad Hindustan ka dosra bada Metro Network...

Hyderabad Metro, Delhi ke baad Hindustan ka dosra bada Metro Network ban gaya hai

Hyderabad: Is saal 20 March ko jab Hyderabad  Metro ne Ameerpet. Hitec city tak Metro train chalaye, to Madhapur, Gachibowli aur aas paas ke ilaqoun se IT aur ITs mulazmeen ne sukoon ki saans liya. Ab Metro, Shehar ke mashriqi aur maghribi ilaqoun mein mulazmeen ke liye ek asan transport rabita faraham kar raha hai. 29 November ko, Shehri intizamia aur shehri taraqqi ke wazeer ke T Rama Rao aur wazeer Transport ke P Ajay Kumar ne  Raidurg tak Metro khidmaat ka iftitah kiya.

November 2017 mein jab wazeer aazam Narendra Modi ne Metro ka aaghaz kiya tha, Tab ye sirf 30 kelo meter duur tak hi tha. Lekin 2 saloon mein, Ye 50 kelo meter tak phail gaya hai, Jo Delhi ke baad Hindustan ka dosra bada Metro network ban kar ubhra hai. Musafiroun mein mustakil izafah horaha hai. Ibtidayi tor par rozana takreeban 1.5 lakh se, Ab ye badh kar rozana 4 lakh musafir tak is mein safar kar rahay hain. Tawaqqa hai ke Raidurg aur Hitec city ke darmain 1.5 Kelo meter ke raqbay mein rozana 40,000 musafir mutwajjah honge.

Shehri naqal o hamal ke asbaab ko badalty hue, Hyderabad Metro ne 2019 mein kayi record todey, Is ke ilawa musafiroun ko pareshani se bachanay ke liye kayi bohat saari khidmaat mein towsee ki. Haal hi mein Metro ne make maai Trap ke sath milkar, QR Code par mabni ticketoun ka nazam shuru kiya, Jis se ticketoun ke liye qataar mein khaday honay ke amal ko vaser tareeqay se daur kar diya gaya.

Is ke ilawa, Is ne musafiroun ko apni pasandeeda filme dekhnay, Apni pasand ki moseeqi sunne aur train mein tafreeh ki sahoolat ke zareya Game khailnay ki ijazat di. Hyderabad Metro mulk ki pehli Metro service hai, Jo apne musafiroun ko aisi aaram da aur flight jaisi sahuliyaat ki peshkash karti hai. Metro hakkaam ka daawa hai ke sarfeen ko khidmaat tak rasai ke liye Mobile Data ki zaroorat nahi hai.

TSRTC mulazemien ki 52 roza hadtaal ke douran musafiroun ko naqal o hamal ki peshkash mein Metro Rail ne bhi keldi kirdaar ada kiya. Aur subah 6
bajey se raat 11 bajey tak khidmaat injaam di gayeen. Is ke ilawa L&T Metro Rail Hyderabad  limited ne Hitec city Metro station par Sky walk ka aaghaz kiya. Ye Panchagutta Metro station par sky walk ke ilawa L&T next Galleria Panchagutta Mall ko jodnay wala tha.

Metro stationoun par 8 barqi gaadi charging points laganay ke liye HMRL ne Fortum ke zair malkiat compane Fortum ke sath ek moahida kiya hai. filhaal, charging muft hai. Haal hi mein power grade coopration of India ne Miyapur aur Baal Nagar Metro stationoun par 3 charging pointe lagaye hain. –YTN STAFF