Saturday, May 4, 2024
HomeOthersHealthHyderabad Mein Wabai Amraaz Mein Izafah, Khawateen Ziyada Mutasir

Hyderabad Mein Wabai Amraaz Mein Izafah, Khawateen Ziyada Mutasir

Hyderabad : Shehar-e-Hyderabad mein in dinon guzishta kayi dinoun se barish ka silsila jari tha jabkay eid ke ayyam ke douran barish ka Silsila thama zaroor hai lekin musalsal barish ki wajah se shehar hyderabad mein wabai amraaz taizi se phail rahay hain aur is mein khawateen ke mutasir honay ki shikayat ziyada hain.

Doctoroun ne kaha hai ke shehar-e-hyderabad mein monsoon ki wajah se wabai amraaz taizi se phail rahay hain aur khaas kar ke wabai bukhaar ke alawa saans lainay mein takleef aur khansi waghera ki shikayaat ziyada dekhi jarahi hain aur dawa khaanoun se jo awam rujoo ho rahay hain un mein 60 feesad khawateen hi shaamil hain.

Chest hospital ke Dr Kiran ne tafseelaat batatay hue kaha hai ke in dinon Hyderabad mein wabai amraaz ki shikayat ziyada dekhi jarahi hai jis mein khaas kar awam ko khushk khansi, bukhaar ki shikayat bohat hain aur is ki shiddat bhi wabai marz ki noiyat par hai kyunkay marz jitna shiddat ka ho raha hai itni shiddat ki yeh takaleef horahee hain aur un mein khaas kar khawateen ki tadaad ziyada hai.

Unhoun ne mazeed kaha ke awam mein khansi ki shikayat sab se ziyada hai lehaza awam ko mashwara diya ja raha hai ke woh jab bahar jayen to apni naak aur mun ko dhaanp len aur khansi ki shikayat par fouran Dr se rujoo hojayen taakay ibtidayi marhalay mein hi ilaaj kiya jasakay aur marz par jald qaboo paaya jasakay. –YTN STAFF