Hyderabad. Hyderabad mein Transport ki hadtaal ka asar juzwi raha hai. Hadtaal ke baayis RTC ney mehdood paimana par apni services chalaye jabkay shehar mein nisf se zayed Autos sadkon se gayab rahay. Cabs bhi sadkon par kam hi dikhayi dyie. RTC basoon aur autos ki kami ko awam ney Metro Train ki khidmaat se istifada karte hue poora karliya. Mangal ke din subah se hi Metro Trains khucha khuch bhari hui rahen. TSRTC Drivers Unions, Auto Drivers Unions aur Taxi Drivers ney Motor Vehicles Act mein tarmeem ke khilaaf shehar Hyderabad mein hadtaal ka elaan kya tha. Metro hukkaam ney dareen asna din bhar izafi Trains chalayein. Din bhar main har 6 minute mein aik train rakhi gayi thi jabkay raat mein aik ghanta ziyada trains chalanay ka faisla kiya gaya. Aaj raat 11:00 bajey Nagole aur Miyapur se aakhri train chalaye jayegi jo neem shab ko apni aakhri manzil par pohunche gi.