Thursday, May 9, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein tarkarion ki qeematein aasman par

Hyderabad mein tarkarion ki qeematein aasman par

Hyderabad: Tamatar se le kar hari mirch ki qeemat taq, Shehar bhar ke Rito bazaar aur deegar dukanat mein taizi se badh gayeen aur shehar mein tarkarion ki qeematein aasman se baatein kar rahi hain. Qareebi azlaa ke kaashtkar Season mein nai ​​faslon ki kaasht karne mein masroof hogaye hain aur riyasat ke dar-ul-hukoomat Hyderabad mein fasal ki aamad kam hogayi hai jis ki wajah se yahan ki sabzi mandyon mein qeematon mein izafah huwa hai. Is ke ilawa riyasat mein jari barish ne shehar mein tarkarion ki aamad ko bhi mutasir kiya hai.

Na munasib halaat ki wajah se tamatar Hari mirch, Kaddu, Bhindi, Gaajar, Aalo aur degar tarkarian sab mehngi hogayi hain. August mein Rito bazaar mein 28 rupay kilo tamatar ki qeematon mein mustahkam izafah dekhnay mein aaya aur woh ab 45 rupay kilo par dasteyab hain.

Isi terhan Hari Mirch jo taqreeban 30 rupay fi kilo farokht hoti thi ab shehar mein 55 rupay fi kilo farokht ki jarahi hai. Gaajar aur Aalo ki fi kilo qeematein bal tarteeb 45, 35 rupay mein dastyab hain. Yeh qeematein Rito bazaar mein theen jabkay deegar dukanon aur colony baazaaron mein un sabzion ki qeematon mein lag bhag 5 Ya 10 rupay fi kilo taq izafah tha.

Marketing Committee ke ohdedaron ke mutabiq zabardast barish ney bohat se kheton ko nuqsaan pohanchaya hai jabkay shehar ko sabzion ki farahmi mein bhi rakawaten hain yeh dono chizen mil kar sabzion ki qeematon mein izafay ka sabab bani hain.

Erragadda model Rito bazaar ke state officer P Ramish ney kaha hai ke 2 hafton ke baad sabzion ki qeematein qaboo mein hon gi. Ek baar jab is mausam mein kashtkaar doosri fasal kaasht karen ge to shehar ko khatir khuwa tarkari mil jaye gi.

Alawa azeen tarkarion mein khaas kar tamatar aur Hari mirch ki farahmi mein numaya kami aayi hai. Erragadda Rito bazaar mein mamool ke mutabiq 200 Quintal tamatar ki aamad ke bar aks sirf 100 Quintal par aa gayi jabkay Hari mirch 50 Quintal se gir kar 28 Quintal hogayi.

Hyderabad ke Rito baazaaron aur muqami baazaaron mein Rangareddy, Medchal, Medak, Waqarabad aur dosray ilaaqon se tarkarion ki farahmi ki jati hai aur un ilaaqon se bhi tarkarion ki aamad mein kami se Hyderabad shehar mein tarkarion ki qeematon mein izafah huwa hai.