Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein taqreeban 5 laakh gharelu Khadima be-rozgaar, koi pursan-haal nahi

Hyderabad mein taqreeban 5 laakh gharelu Khadima be-rozgaar, koi pursan-haal nahi

Hyderabad : Judwan shehroun Hyderabad aur secunderabad mein gharelo mulazmeen apni roz maraah ki zaroriat ko poora karne ke liye jad-o-jehad kar rahay hain aur unki baqa khatray mein hai kyunkay ghar walay coronavirus phelnay ke khauf se Khadima ki khidmaat ko browe-car laane ke khilaaf hain.

Pichle 10 saloun se 40 sala Abida khatoon gharelu Khadima ke tor par kaam kar rahi hain lekin corona ki wajah se woh pichle teen mah se be-rozgaar hain. Covid-19 ke khauf se inhen dobarah kaam par nahi bulaya gaya hai. Abida khatoon nay kaha ke hyderabad mein hamaray liye halaat aur bhi kharab hain, log corona ke khauf se baa-mushkil hamein kaam ke liye phone kar rahay hain.

Riyasat telangana mein 10 laakh ke qareeb aur hyderabad mein 4 se 5 laakh gharelo Khadima hain jin mein se sirf 30 feesad ghranoun ney hi barqarar rakha hai. un mein kul waqti, juz waqti aur barah-e-raast mulazmeen shaamil hain, un mein se beshtar ka talluq azlaa ya deegar reyaston se hai. Abida khatoon ney mazeed kaha lockdown ke baad hum mein se beshtar ko adaigi nahi ki gayi hai aur ab hamaray paas koi bachat nahi hai aur bohat se logon ke paas ration card bhi nahi hai.

Shehar se taaluq rakhnay wali ek aur 35 sala gharelo mulazma Anwari ke muamlay mein bhi kuch mukhtalif nahi hai kyunkay woh NGOs aur dosray logon se ration leti thi lekin ab jab lock down mein narmi aayi hai to NGOs ne bhi ration ki taqseem band kar di hai aur usay kamanay ke liye dobarah kaam shuru karna padha. Anwari ne kaha ke lock down mein narmi anay ke baad bhi hamaray halaat nahi badlay kyunkay corona ke phelnay ke khauf se hum se kaam nahi liya ja raha hai. hum ne apni mojooda mulazimton ko kho diya hai aur hamein doosri chote mulazimton par inhisaar karna hoga.

Isi tarhan ek gharelo mulazimen faraham karne wali company ke maalik Madhu sudhan ne kaha hai chunkay ziyada tar gharelo mulazmeen tarikeen watan mazdoor hain is wajah se woh lockdown ke douran ration haasil karne se qassar they. kuch karkun jo pichlle kayi saloun se ek hi ghar mein kaam kar rahay they inhen dobarah kaam par wapas bulaya gaya hai aur lock down ke douran inhen tankhowa bhi di jarahi thi, lekin ab bohat saaray be-rozgari se dochar hogaye hain.    -YTN STAFF