Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein shadeed barish ka silsila jari, kayi ilaqay zair-e-aab, aam zindagi...

Hyderabad mein shadeed barish ka silsila jari, kayi ilaqay zair-e-aab, aam zindagi mutasir

Hyderabad : Shehar-e-Hyderabad mein in dinoun barish ka silsila jari hai. mangal ki shaam bhaari barish se jahan shehar ke kayi ilaaqoun mein pani bhar gaya tha, aur sadkon aur mohalla jaat mein pani jama honay se awam ko kaafi mushkilaat paish aayi theen, wahein dosray din chaharshambe ki shaam ko bhi barish ka yeh silsila jari raha, achanak mosla-dhaar barish se shehar ke mutadid hisson mein pani bhar gaya, sadkain zair-e-aab hogaien, aam zindagi mutasir hogayi. Musafireen traffic mein phansay rahay.

Hitec city aur Gachibowli ke IT corridors mein lambi traffic dekhi gayi. aur daftaron se anay wali senkdon taxis jam mein phas gayeen. is sorat-e-haal par qaboo panay ke liye traffic police ko sakht mushkilaat ka saamna karna pada. police ne IT compane ke mulazmeen ko mashwara diya ke woh apne dafatir se zara takheer se niklein.

Barish ki wajah se nashebi ilaaqon mein selaab jaisi sorat-e-haal paeda hui. Greater Hyderabad municipal corporation ( GHMC ) ki hungami teams naliyon mein rukawatoun ko door karne ke liye sir garam hogayen.

Markazi wazeer Kishan Reddy, jo secunderabad lok sabha intikhabi halqa ki numaindagi karte hain, unhon ne NDRF ki taenati mein bhi markaz ki himayat ki yaqeen dehani karai. is se qabal, riyasat ke shehri taraqqi wo municipal administration ke wazeer KTR ne kaha ke hyderabad mein September mein sab se ziyada barish hoyi hai. unhon ne tweet kiya ke ”ham 100 saloun mein ab tak ki sab se ziyada barish dekh rahay hain.

Hindustani mehakma mosmiyat ( IMD ) ke adaad wo shumaar ke mutabiq, hyderabad mein mangal ke roz 7. 5 centi meter barish hui, jabkay kuch ilaaqon mein 13.2 centimeter tak barish hui. –YTN STAFF