Hydrebad: Lockdown 3 May tak bhedne ke baad Hyderabad ke tenun Commissioner, Hyderabad, Cyberabad aur Rachakunda ke City Police ne hifazati iqdamaat taiz kardiye hain. Mukhtalif maqamat par sakht Checking ki gayi jis ke sath Police ohdedaroun ne ahem sadkoun par rukawaten khadi kee. Kam o besh nisf darjan Police ohdedar har baday moud aur un mein se darjanoun ko shehar ke ahem aur hassas maqamat par tainaat kiya gaya tha.
Motorcycles ko Brigades se guzarnay mein sakht mushkil ka saamna karna pada kyunkay Police ne Lockdown ke douran sadkoun par anay aur ghar se baher niklne ke liye wajah puchhte huve un ki jaanch ki. Police ne mutadid rastoun ko band kardiya aur Security ko teez kardiya. Secunderabad, Paradise, Bowenpally, Begumpet, Panjagutta, Uppal, Madhapur, Gachibowli aur deegar maqamat ki sadkoun ko rokk diya gaya aur Paradise se Panjagutta jany wali gadiyoun ki Checking ki gayi. Kayi maqamat par Traffic Police ne Lockdown Orders ki khilaaf warzi karne par saza ke tor par 20 Minute se ziyada gadiyoun ko rokk liya.
Bohat se waqeat mein, Un logoun ki gadiyan zabt hogai jo sadkoun anay ki wajibi wajah batanay se qassar hain. Police ohdedaroun ne bataya ke niji gadiyoun walay afraad ko 3 kilometer ke alawa taweel faaslay tak gaadi chalanay ki ijazat nahi hai aur inhen sirf ghareloun ashya aur deegar zurori samaan ki kharidari ke liye apne ilaqoun mein safar karne ki ijazat hai. Raat ke waqt, Nigrani sadkoun par sakht hogi aur gadiyoun ko zabt karliya jaye ga. Tenun Police Commissioners ne Lockdown par hukoomati ehkamaat ki khilaaf warzi karne waloun ke khilaaf sakht karwai ka intibah diya gaya hai. –YTN STAFF