Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein sadak hadsaat mein kami

Hyderabad mein sadak hadsaat mein kami

Hyderabad: Shehar-e-Hyderabad mein muqeem afraad aur khaas kar rozaanah apni masrofiyat ki wajah se sadkon par safar karne walon ke liye yeh adaad vo shumar khush aaind hain ke rawan saal sadak hadsaat mein kami record ki gayi hai jaisa guzishta saal isi mahine may hue haadsaat ki taadad ke muqable may January 2021 mein riyasat Telangana ke dar-ul-hakoomat Hyderabad mein halakat khaiz sadak hadsaat mein 46 feesad kami record ki gayi hai.

Hyderabad traffic police ke mutabiq January 2020 mein 24 amwaat ke muqablay mein is saal January mein sirf 12 amwaat ki ittila mili. Mukhtalif ahteyati tadabeer aur un par amal ke kamon ki wajah se police shehar mein sadak par honay walay mohlik hadsaat ko kamyabi ke sath kam karne mein kamyaab rahi hai.

Traffic police deegar wujuhaat mein cell phone driving, nashay mein driving aur la-parwahi se driving shaamil hain. Yeh mushahida kiya gaya hai ke mohalik sadak hadsaat mein, 6 motorcycle aur ek gaadi par peechay ke sawaar ne helmet nahi pehna tha aur ek  agarchay is ne helmet pehan rakha tha lekin isne helmet ke belt ko bandha nahi tha isle iski bhi hadse may mout hui hai. Additional CP anil kumar ne kaha hai ke traffic police nashe may driving aur musafiroun ki zindagi ko khatre may dalne wali makhsoos khilaf warziyoun ke khilaf khawaneen ke sakht nifaz ke liye ba-qaidah khususi muhim chalarahi hai.

Aisay driveron ko unke khandan ke afraad ya sarparston ki mojoodgi mein traffic training institute mein training di jarahi hai. Additional CP Anil kumar ne mazeed kaha hai ke un makhsoos koshisho ne sadak hadsaat mein honay wali halakaton ki tadaad ko kam karne mein be had ahem kirdaar ada kiya hai.

Rawan national road safety, mah ke douran sadak hadsat aur amwat se hifazat ke silsile may ek mehfooz Hyderabad banana ke liye mutaliqa tamam mehkamoun ke saath mukhtalif ijlaas munaqid kiye jarahae hai aur umeed hai ke amali maidanoun may is ke behtar nataij bhi hasil hoge.