Wednesday, May 7, 2025
HomeHyderabadHyderabad mein sabzioun ki qeematoun mein izafah ke imkaan

Hyderabad mein sabzioun ki qeematoun mein izafah ke imkaan

Hyderabad: Coronavirus aur lockdown ki wajah se sabzioun ki qeematein jo pichlle 2 mah mein sasti ho chuki hain aur hatte ke mausam garma ke ekhtataam ki taraf bhi anay walay dinoun mein mamooli aur izafah raha lekin ab jabkay shehar mein Hotels aur Tiffin Centers khol gaye hain to tarkarioun ki qeemat mein bhi izafah ka imkaan hai. 

Lockdown mein pesh ki jaany wali riayat ke baad sabzi khoroun, Taajiroun, Sabzioun ke sodagaroun ko andaza hai ke sabzioun ki maang mein izafah aur hoga jis ka qematoun mein izafay ke tor par asar padega. Guzashta roz shehar ke baazaaroun mein beshtar sabzioun ki qeematein sasti rahi jabkay tamatar 14 rupay kelo, Bhindi 25 rupay kelo, Hari mirch 31 rupay kelo, Pyaaz 15 rupay kelo aur Aalo 28 rupay kelo farokht huwa. Ek maheena pehlay ye sabzian padosi azlaa se badi aamad ke sabab bohat sastay damoun par dastyab theen. 

Kisaan qeematoun ki sorat e haal ki thodi si tabdeel ki tawaqqa kar rahay hain. Kashtkaroun ne kaha hai ke muhallay se le kar Restaurants tak khanay, Baazaaroun se rozana badi miqdaar mein sabzi kharidte hain aur beshtar ashya ki talabb mein izafah hota hai. Rito bazaar ke beshtar kisanoun ka khayaal hai ke agarchay tarkarioun ka mutalba fori tor par bhaari nahi ho sakta hai kyunkay baher khanay peenay walay afraad bhi ahteyat karenge lekin peer se halaat badalny ke sath hi tarkarioun ki maang mein chhootay pemanay par izafah ho sakta hai.

Erraganda Rito bazaar ke ek kisaan Jay Shankar ne kaha ke pichlle 2 mahino mein unhoun ne rozana ki bunyaad par apne Stock ko khatam karne ke liye kam qeemat par sabzian di hain. Unhoun ne mazeed kaha sorat e haal badlay jaaane ka imkaan hai kyunkay hamein hotel malikaan se sabzioun ki badi miqdaar ka order milna shuru hota hai. –YTN STAFF