Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein pyaaz ki qeematein phir rulane lagi

Hyderabad mein pyaaz ki qeematein phir rulane lagi

Hyderabad: Maharashtra, Karnataka aur Andhra Pradesh mein pyaaz ki pedawar mutasir hui hai jis ki wajah se Hyderabad jaisi jaghon par pyaaz 40 rupay fi kilo farokht ki jarahi hai. Yeh dugni qeemat hai jo ek mah qabal baa-mushkil farokht hui thi. Taham manndi ke zaraye qeemat mein is taizi se izafay ki wajah padosi reyaston se sarbarahi mein nisf kami ko qarar day rahay hain. Pyaaz ki qeematon mein izafay ki wajah se markaz ne sabzion ki bar aamad par pabandi ayed kar di hai. Telangana mein pyaaz ki kaasht bunyadi tor par Alampur, Gadwal, Kolhapur aur Narayankhed ke aas hai.

Chunkay pyaaz ki muqami pedawar gharelo zaroriat ko poora karne ke liye kaafi nahi hai lehaza riyasat Telangana ka dar-ul-hakoomat Hyderabad Maharashtra, Karnataka aur Karnool se dara amadat par munhasir hai. Pichlle saal pyaaz ki qeematein aasman taq pahonch gayeen. Pyaaz ko Andhra Pradesh ki Retail Market mein 160 rupay Kilo mein farokht kiya gaya tha aur Telangana mein is ki qeemat 170 rupay fi Kilo taq pahonch gayi thi. Chunkay pyaaz ki kaasht ke raqbay mein ghair mamooli izafah huwa hai lehaza qeematon ko qaboo mein kiya ja sakta hai.

Lockdown ke douran deegar sabzion ki qeematon mein izafay ke bawajood pyaaz 10 se 15 rupay Kilo ke darmain farokht huvi. 7 September ko Bowenpally Market mein Grade 1 pyaaz ke 5479 quintal masool hue. Market ki sarbarahi 12 September ko 3424, 14 September ko 2835, 15 September ko 2400 Quintal reh gayi thi. 7 September ko grade 2 pyaaz ki sarbarahi 8719 quintal thi lekin yeh 12 September ko 4252 quintal se ghatt kar 5136 quintal hogayi. Maharashtra se yahan dar aamad kiya gaya darjah awwal pyaaz Wholesale Market mein 3600 rupay fi quintal par farokht hawa. Telangana mein kaasht honay wali pyaaz thook market mein 2000 rupiyon quintal farokht horahee hai. Is ke nateejay mein pyaaz ki khuli market qeemat 40 rupay fi Kilo hogayi.