Monday, September 16, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein petrol ki maang mein kami, petrol pumps malikaan pareshan

Hyderabad mein petrol ki maang mein kami, petrol pumps malikaan pareshan

Hyderabad: Petrol Pump association aur malkaan ne daawa kiya hai ke lockdown aur is mein eendhan ki talab mein taqreeban 20 taa 30 feesad ki kami waqay hui hai aur hitec city, Kondapur aur Madhupur jaisay ilaqon mein yeh nuqsaan 50% tak record kiya gaya hai.

Media se baat karte hue telangana petroleum dealers association ke sadar Rajiv amaran ne kaha poooray shehar mein eendhan ki talab mein 20 se 30 feesad ki kami waqay hui hai. Kam khapat ke alawa, Taxi driver aur travel agent jo hum se udhaar ki bunyaad par eendhan letay hain woh ek saal se kaarobar se bahar rehne ki wajah se hamein adaigi nahi kar parahay hain.

Unhon ne mazeed kaha ke hum phone calls uthane se khaufzadah hain kyunkay hum yeh samajte hain ke yeh bankon ke agent ke cal honge aur hamein aqsat ki adaigi ka hukum diya jayega. Bohat se logon ne yeh bhi kaha ke woh Dharani portal par Registration ke maslay ki wajah se qarzoun ki adaigi ke liye apni Jaedad ko farokht nahi kar saktay hain jiski Wajah se bhi aqsat ki adaigi nahi hoparahi.

Hitec city ilaqay se taaluq rakhnay walay ek aur petrol pump ke mulk ne apna naam zahir nah karne ki shart par kaha ke hum qarzoun mein doob gaye hain jabkay shehar ke deegar hissoun mein Petrol pump abhi bhi mukammal kaarobar nahi kar paya. IT ilaqoun mein Chunkay har koi ghar se kaam kar raha hai aur unka Bahar aana jana nahi hai aur woh petrol bhi nahi khareed rahay hain lehaza hamein 50 taa 70% ke qareeb talab mein kami ka saamna karna pad raha hai.