Monday, May 20, 2024
HomeJurmHyderabad mein mulazimat dilanay ke naam par dhoka, 3 afraad giraftar

Hyderabad mein mulazimat dilanay ke naam par dhoka, 3 afraad giraftar

yderabad: Cyberabad Cyber Crime Police ne Uttar Pradesh se 3 rukni giroh ko Hyderabad mein mulazimat dilanay ke naam par dhokabas ku giraftar kiya jis ne mulazimat ke khwahshmandon ko Career Cite nami jaali Consultancy ke zareya dhoka diya. Giraftar honay walay afraad Lukhnow ke rehaishi Shano Ansari, Y Srivastava aur Tushar Srivastava hain. Police ke mutabiq mushtaba afraad ne Mumbai, Maharashtra mein Registered pattay ke sath jaali Website kholi. Unhoun ne mulazimat ke khwahshmandon ko call karne aur aala thankhowa wali mukhtalif naamwar software farms mein mulazimat ke lalach mein 7 Telephone karne walon ka taqarrur kiya. Unhoun ne jaali Interview bhi liya aur muntakhib umeedwaron se unhoun ne mukhtalif feeson ke bahanay raqam jama karwanay ki hidayat dete hue dhoka diya.

Un dhoka dahi ka shikaar honay wali Cyberabad se talluq rakhnay wali ek khatoon software mulazim ne police ke paas pohanchi, Jis ke baad Cyber Crime Wing ne muqadma darj kiya aur is ke baad is touli ko UP se giraftar karliya. Inhen ek qaidi ke transit warrant par Hyderabad laya gaya tha aur usay adalat mein pesh kiya gaya.

Yeh pehla mauqa nahi ke Hyderabad mein mulazimat ke naam par dhoka dahi hui hai maazi mein uski kayi misalein mojood hain. Is zimn mein police ne awam ko mashwara diya hai ke woh koi bhi raqomat ki adaigi se qabal achi terhan itminan haasil karlen. Doosri janib mahireen ne awam aur khaas kar nojawanon ko mashwara diya hai mulazimaton ke husool ke waqt company aur darmiyani afraad ke mutaliq durust maloomat haasil karlen. Raqam ki adaigi ke waqt jo tareeqakar bataya jata hai is mein farzi aur asal mein ek wazeh farq yeh hota ke kabhi Company safar, Qiyam aur kisi bunyadi zaroorat ke tehat chand rupiye ada karne ka hidaayat deti hain jis mein shafafiat wazeh hoti hai. Is ke ilawa agar koi badi raqam ka mutalba kar raha hai to phir mulazimat ke khawesh mand hazraat ko chao-kanna honay ki zaroorat hoti hai.