Wednesday, May 7, 2025
HomeHyderabadHyderabad mein macharoun ke khilaaf Drone hamlay, Ekhtraay koshish ke hosla afzahi

Hyderabad mein macharoun ke khilaaf Drone hamlay, Ekhtraay koshish ke hosla afzahi

Hyderabad: Hyderabad ke kayi ilaqay jin mein khaas kar Tolichowki ka ilaqa macharoun ke liye kaafi mashhoor hai lekin ab Hyderabadioun ke liye khush khaberi hai ke hakkaam ne macharoun ki afzaish nasal ko roknay aur un se phelnay walay amraaz ki rokk thaam ke liye Drones ka istemaal shuru kardiya hai jis ke behtar nataij bhi haasil ho rahay hain.

Macharoun ke khilaaf Drone ka istemaal kiya ja raha hai aur is mansoobay ke misbet nataij bar aamad hotay nazar arhay hain jis ke baad ab Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) ne apne tamam 6 Zones mein is ko istemaal karne ka faisla kiya hai. GHMC ne Serilingampally zone ke Raidurgham mein Miyapur aur Durgam Cheruvu mein pani ki gandagi ko roknay aur macharoun ki afraesh ko roknay ke liye bio enzymes ke ched khaoo ke liye Drone ka istemaal kiya hai. Ohdedaruon ne kaha hai ke nataij misbet hain. Ek ohdedar ne kaha hai ke mansoobay ka nateeja hosla afzaa hai kyunkay Drone se adwayat ke ched kagao se macharoun ke ladawa ki afzaish mein khatir khuwa kami waqay hui hai.

GHMC ne gaaye ke gobar samait jadi bootion se se tayyar kardah dawaon ko chid kanay ke liye khud sakhta tor par karkardagi anjaam dainay walay 10 letter salahiyat walay Drone istemaal kiye hain. Is Drone ko bio enzymes 6 letter fi aekar par chid kanay mein istemaal kiya gaya. Ek aekar par adwayat kached kagao 10 minute mein karliya gaya tha. Drone ki bajaye agar ye kaam riwayati tor par haath se kiya jata to takreeban 2 haftoun se le kar ek maheena tak ka waqt sirf hota, Jis ka matlab hai ke takreeban. 20 se 25 kaarkunoun ko tainaat karne ki zaroorat hojati.

GHMC hakkaam ne kaha ke Drones ne waqt aur afraadi qowat ki bachat mein madad ki hai. Ab ye project 3 nij Agency chalayein ge aur un ki dekh bhaal karen ge jis par har saal 10 lakh rupay kiraya wusool kiye jayen ge. GHMC Serilingampally zone commissioner D Harichandana ne kaha ke entomology wing ke ohdedar chid kanay ki sar garmioun ko marboot karen ge aur chemical faraham karen ge. Kaarkunon ko jo jheeloun par water hyacinth  aur dasti Anti ladawa operation ko saaf karne ke liye tainaat they ab inhen dosray ilaqoun mein muntaqil kiya jaye ga.

Drone ke istemaal se mutaliq security pehlvun ke barey mein unhoun ne kaha ke agencio ko baghair kisi camera ke sirf kam udnay wali baghair Pilot ke Drone istemaal karne ki ijazat hogi. Mashq ke douran operators aur entomology  Wing ke ohdedar jaye wuqoo par mojood hon ge kyunkay drone tayyaroun ko joysticks ka istemaal karte hue chillatay hain. Unhoun ne mazeed kaha ke mehakma police ko un ki manzoori ke liye kaam ke schedule ke barey mein aagah kiya jaye ga. Jabkay har zone ko ek drone muhayya kiya jaye ga, Khairtabad aur Charminar zone ko ek sath ek drone faraham kiya jaye ga. Serilingampally mein qareeb 75 jhelen hain jis ki wajah se yahan macharoun se awam ko kayi amraaz ka khatrah la-haq hai. –YTN STAFF