Wednesday, May 14, 2025
HomeHyderabadHyderabad Mein Khasta Haal Imaartoun Ki Inhedami Karwai Mein Tezi

Hyderabad Mein Khasta Haal Imaartoun Ki Inhedami Karwai Mein Tezi

Hyderabad : Rawan haftay Mumbai mein munhadim 4 manzila imarat jiski wajah se 11 afraad mout ki neend so gaye aur malba mein 40 afraad dabey rahay is is haadsay nay shehar hyderabad mein ek martaba khasta haal imaartoun ke munhadim honay aur jani wo maali nuqsanaat ke khadshaat ko badha diya hai jis ke baad hukkaam nay khasta haal imaartoun ki inhedami karwaiyon mein tezi  dikhani shuru kar di hai, kyunkay hyderabad joke tareekhi shehar hai is mein sadiiyon qadeem imaratein moujood hain jis kisi bhi lamha haadsa ka shikaar hosakti hain.

GHMC ki janib se khasta haal imaartoun aur boseedah dhanchon ko munhadim karne ki karwai ki jati hai lekin is ke bawajood shehar hyderabad mein kayi aisi imaratein hain jo ke khasta haal honay ke bawajood inhen munhadim karne mein kayi ek rakawaten moujood hain lekin un imaartoun mein mausam barsaat mein khaas kar zindagi busr karna kisi bhi lamha mout ko dawat dainay ke mutradif hai .

khasta haal imaartoun jis mein kisi bhi lamha nigehani waqea runuma ho sakta hai is ke bawajood un imaartoun ko awam ki janib se khaali nah karne ki zimn mein izhaar-e-khayaal karte hue GHMC ke mutaliqa ohdedaron nay kaha ke imarat khasta haal honay aur kisi bhi lamha koi nigehani waqea runuma honay ke khadshaat ke bawajood imaratein khaali nah karne ki ek ahem wajah unke yahan tijarti marakaz aur zindagi ki deegar zaroriat ka moujood hona hai.

GHMC ke Town planning wings ke saddar Devendar reddy nay kaha hai ke mutaliqa hukkaam shehar hyderabad mein mein tarjeehat ki bunyaad par khasta haal imaartoun ki inhedami karwai kar rahay hain. shehar hyderabad mein 10 taa 15 feesad aisi imaratein hain jo ke khasta haal honay ke alawa mausam barsaat mein kisi bhi lamha munhadim ho sakti hain lehaza inhen munhadim karne ke liye tezi  se karwai ki ja rahi hai.

Alawa azeen jin imaartoun ko aahak pashi ki zaroorat hai inhen notice bhi jari ki jarahi hain. is ke alawa khasta haal imaartoun mein zindagi guzaarne walay afraad GHMC  se ijazat talabb karte hue un ki dobarah taamer aur aahak pashi bhi kar rahay hain. khasta haal imaartoun ki inhedami karwai ke liye charminaar, Khairtabad, LB nagar, secunderabad, sri lingampally aur Kukatpally zone ke tehat Zumra bandi karte hue un ilaaqon mein khasta haal imaratoun ko nishandahi karte hue un ki Zumra bandi ki gayi hai kyunkay jo had se ziyada khasta haal hain jin ko munhadim karne ke alawa dosra koi rasta nahi hai inhen tarjeehat ki bunyaad par munhadim kar diya ja raha hai.

Charminar zone mein 84 imaartoun ki nishandahi ki gayi hai isi tarhan Khairtabad zone mein khasta haal imaartoun ki tadaad 70 record ki gayi hai. secunderabad zone mein khasta haal imaartoun ki tadaad 79 hai. LB nagar zone mein 57 aur Kukatpally zone mein bhi 57 noon khasta haal imaratein moujood hain jin mein fouri munhadim karne wali imaartoun ki bhi nishandahi karli gayi hai. ilawa azeen GHMC ke hukkaam nay qadeem imaartoun mein zindagi basr karne walay shehrion ka mahswara diya hai ke woh apni jaan wo maal ko khatrah mein nah dalain balkay imarat ki khasta haalat ke hisaab se behtar faislay karen. –YTN STAFF