Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein kayi hazaar Shadian multawi

Hyderabad mein kayi hazaar Shadian multawi

Hyderabad: Shehar Hyderabad ki maizbani aur yahan ki shadioun ki taqarib saari duniya mein mashhoor hain aur mausam garma to shadioun ka Season hota hai jis ke liye kayi mah pehlay hi shadi khane Book ho jatay hain lekin is martaba Coronavirus ki wajah se mausam garma mein shadioun ka qehat ka khadsha hai. Shehar bhar mein 21 din ke Lockdown sakht se sakht tareen honay ke sath hi aglay ek mah ke douran tey shuda Muslim baradrioun mein shadian multawi kardi gayen.

Hejri mahinay Shabaan ke douran kayi hazaar shadian shehar bhar mein honay wali then. Ramadaan ka muqaddas maheena shabaan ke baad hota hai jis mein shadian na ke barabar hoti hain lehaza is martaba April mein kayi hazaar shadian muqarrar then lekin un mein ab taqreeban shadian multawi hochuki hain halaank kayi khandanoun ke zehan mein Online Nikah ka mutabadil rasta hunoz mojood hai.

Qaazi Habeeb Ahmed Bin Salam Al-Aataas, Jo Chandrayangutta ke ilaqay aur is ke aas paas shadioun ko anjaam dete hain unhoun ne mojooda halaat aur shadioun ke tanazur mein kaha ke loog Nikah multawi karne ke barey mein Phones kar rahay hain aur mutala kar rahay hain. Ghair yakeeni sorat e haal ki wajah se is waqt nai tarikhoun ka taayun nahi kiya ja raha hai.

Shehar ke mutadid Hall kayi mahinoun pehlay un shadioun ke liye Book kiye gaye they jabkay mutadid Mega Events ki mansoobah bandi karte they Aur Caterers, Events Managment Companiyon aur shadi ke intizamaa se mutaliq deegar Agencies ke sath Order diye they.

Kotla Alijah ke ek karobari shakhs Shabir Ahmed ne kaha ke mere bhai ki shadi April ke dosray haftay mein honay wali thi. Khush qismati se hum ne dawat naame taqseem nahi kiye. Mamlaat tey panay ke baad, Hum nai tareekh tey karen ge.

Catering Agency chalanay walay Mohammed Irfan ne kaha ke Ramdan tak mutadid afraad ne shadioun ko mansookh kardiya hai. Fariqain ke sath maali mamlaat baad mein hal hojaien ge. Pehlay hi hum ne saz-o-samaan aur murghi ke liye sarbarahi karne waloun ko kuch raqam ada kardi thi. Mujhe umeed hai ke hum un logoun ke sath koi hal tey karen ge jinhoun ne hamaray sath Order diya.

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai chunkay Coronavirus ke khilaaf kiye janay walay iqdamaat mein Lockdown ki wajah se ab shadioun ke riwayati aitbaar se anjaam paana mumkin nahi hai lehaza halaat mamool par anay tak Online Nikah ke waqeat mein izafah mumkin hai kyunkay rawan hafta Hindustan ki riyasat Bihar ke shehar Begusarai mein 2 bhenoun Raahat Parveen aur Naghma Parveen ka Online Nikah huva hai jis ne un halaat mein Muslim samaaj ko ek naya tajurbah karne ki raah hamwar ki hai. –YTN STAFF