Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein kaali murghi ka Gosh 1200 rupee kilo

Hyderabad mein kaali murghi ka Gosh 1200 rupee kilo

Chicken Hyderabaddi awam ki Marghoob ghiza hai aur yahi wajah ke Hyderabadi dawatein chicken ke tasavur ke baghair namukammal hoti hain aur gharon mein bhi aaye din khawateen chicken aur is se banne wali mukhtalif dishes taiyyar karti hain is ke bawajood yeh kilo se ziyada se ziyada 280 rupee hota hai lekin Hyderabad mein ek aisa chicken bhi hai jis ki kilo qeemat 1200 rupee hai .

Yeh black ( siyah ) chicken hai jaisay aam tor par kadak nath chicken kaha jata hai. Yeh kala gosh ke tor par bhi jana jata hai jo bohat logon ke ilm mein hota hai. Kala godsh chicken ki sehat mand shakal mein shaamil hota hai aur kam chiknai ki miqdaar ki wajah se kadak nath murghi ab hyderabad mein mehanga tareen gosht hai jo is ke dealers ke mutabiq shehar ka mehanga tareen gosh  hai. Shehar Hyderabad mein kala gosh 1000 se 1220  tak kilo farokht ho raha hai, jabkay zindah parindah 850 rupay kilo ke hisaab se farokht hota hai. Kaha jata hai ke is nasal ki ibteda Madhya Pradesh, Chhattisgarh aur Gujarat aur Rajasthan ke kuch hisson se hui hai, ziyada tar qabaili afraad uski parwarish karte hain. Is ki khaas baat yeh hai ke yeh murghi mukammal kaali hoti hai, –apne paro se le kar gosh tak sab kuch kala hota. Naiza aise kahaniyan bhi maujood hain ke yahan tak ke anda bhi kala hota hai lekin kadak nath chicken ke anday darasal halkay gulaabii rang ke sath bhuri rangat ke hotay hain. Gosh aur anday dono ko mamool ka wazan haasil karne mein lag bhag aath mah lagtay hain, is ke baras baqaidagi se barayel is wazan ko haasil karne mein lag bhag 45 din lagtay hain aur is se miyaar, qeemat aur deegar akhrajaat mein farq hota hai .

ALSO READ:-EK plate Briyani ki keemat 20 hazaar rupee

Judawa shehron mein is terhan ke murgh ka sab se bada supplier kadak nath chicken farms ke mutabiq parindon ki afzaish ki qeemat 500 rupee parindah hai. Yeh har din taqreeban 100 gram feed ( ghiza ) khata hai aur is ki afzaish balayr murghi se mukhtalif hoti hai. Kadak nath chicken farms ke saathi Vanish gud ne kaha hai ke ktuke is ko sehat se mutaliq mutadid fawaid hain, lehaza kaali murghi mehngi hoti hai. Unhon ne kaha hum Vakharabad mein Sarshar farm par kadak nath parindon ki 4000 se ziyada ki afzaish kar rahay hain aur hum shehar mein dukanon ko faraym karte hain. Gosh ke alawa, Kadak nath ke anday bhi mehange hain jin ki qeemat anda 30 rupee hai. Yeh khayaal kiya jata hai ke yeh anda ka sehat bakhash hota hai, khaas tor par Umar Raseedah afraad aur high blood pressure ke mareezon ke liye yeh shandaar ghiza mana jata hai. Is anday ki market mein talabb hai, lekin pedawar kam hai aur is ke nateejay mein qeematein ziyada hoti hain.