Tuesday, April 22, 2025
HomeHyderabadHyderabad mein jamia milliya islamia ki talibat ne badi tahereek chalaney ka...

Hyderabad mein jamia milliya islamia ki talibat ne badi tahereek chalaney ka mutalba kiya

Hyderabad : jamia milliya islamia ki do talibat, jo Shaheriyat Tarmeemi Act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj ka chehra ban gayeen, hafte ke rooz kul hind majlis-e- ittehaad ulmuslimin ( AIMIM) ke sadar daftar’ darussalam’ mein munaqidah jalsa aam se khitaab karte huvey Ladeeda Farzana aur Aisha rayna ne dalitaoun aur deegar mazloom logon ko saath milaane aur mulik ko fashist taqaton se azad karanay ke liye aik badi tahereek chalanay ka mutalba kiya .

jamea ki mazkorah talibat ne jamia milliya islamia mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj ke daouran, muzahireen par laathi charge karne walay police ehalkaron se –apne aik mard dost ko bachanay ke liye police ehalkaron ke samnay khadi theen, aur un ladkiyoun ki video social media par viralho gayeen theen.

Un talibat nay hyderabad mein, kul hind majlis-e- ittehaad ulmuslimin ( AIMIM ) ke sadar daftar’ darussalam’ mein UNited muslim action committee ke zair e ihtimaam munaqidah jalsa aam mein shirkat ki. Aur asad uddin Owaisi aur mukhtalif muslim rehnumao ke sath stage share kiya.

Jamia ki talibat nay is jalsa aam ko shehriat tarmeemi act ( CAA ) aur national register of Citizen ( NRC ) ke khilaaf tareekhi jalsa qarar diya. jamia ki Taliba Ladeeda Farzana ne hindustan mein siyah qawaneen ke khilaaf jaddo jehad karne Waloun ko salam paish kiya.  unhon nay kaha ke ”hum un tamam shohada ko salam  paish karte hain, jinhoun nay is Draken qanoon ke khilaaf ladtay huve apni jaanen nichhawar kee. hum un tamam logoun ko bhi salam paish karte hain, jo sadkoun par aawaz buland kar rahay hain. Ladeeda  nay mulik ke tamam insaaf pasand awam se appeal ki ke woh is jaddo jehed mein shaamil hoon“.

 

Jamia milliya islamia ki Taliba aisha rayna naay shehriat tarmeemi qanoon aur NRC ke khilaaf ehtijaj karne walay talba ke khilaaf police ki bar bariat ki sakht mazammat ki. unhoun naay kaha ke police naay talba par mazalim ke pahad todhey, laibrary mein ghus kar inhein maara, yahan tak ke jamia masjid mein namaz padhnay waloun ko tak nishana banaya. aisha naay tamam ehtijaj karne waloun ko salam paish kiya aur mutalba kiya ke ehtijaj ke daouran mulik bhar mein jitne talba aur afraad ko girftar kiya gaya hai un tamam ko riha kiya jaye “.

unhon naay kaha ke, insaaf ke liye jung dalitoun, bahujanoun aur muashray ke deegar pasmandah tabqaat ke sath izhaar yakjahti ke baghair na mumkin hai.

Unhaon nay yeh istadlaal kiya ke CAA imtiazi sulook ka hai aur is terha yeh aaeen ki rooh ke munafi hai, unhaoun nay kaha ke is qanoon se na sirf musalman balkay doosray tamam mazloom tabqaat bhi mutasir honge. unhoun nay kaha ke sangh pariwaar ka IT Cell nafrat angaiz muhim ka sahara le raha hai aur muslim khawateen ko insaaf dilanay ki baat kar raha hai.-YTN STAFF