Wednesday, May 8, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein Hindustan ka dusra sadar maqam bananay ki tamam khoobiyan moujood

Hyderabad mein Hindustan ka dusra sadar maqam bananay ki tamam khoobiyan moujood

Hyderabad : Delhi ko Hindustan ke qadeem aur tareekhi Dar-ul-hukumat honay ka aizaz haasil hai taham badshah Mohammad bin Taghluq ne ek martaba Delhi se darul-khalifa junoobi Hindustan ke shehar Doulatabad muntaqil kiya tha jisay tareekh mein ek ehmaqana faisla kaha jata hai lekin ab jabkay Delhi fazai aloodgi se buri tarha mutasir hai to junoobi Hindustan ke tareekhi shehar Hyderabad ko Hindustan ka dusra sadar muqam bananay ki tajaweez pesh ki jarahi hain aur social media par Hyderabadi ne nah sirf is faislay ka kher maqadam kiya balkay Hyderabad ko Hindustan ka dusra Dar-ul-hukumat bananay ke liye is shehar ki darjanon khoobiyan bhi bayan kardi hain jis mein khaas kar hyderabad ka padosi mumalik ke sarhadoun se door hona qabil-e-zikar hain.

Hyderabad China aur Pakistan ke sarhadoun se kaafi daur honay ke alawa berooni ohdedaron aur aam aadmi ko yahan tak rasai ke liye Rajiv Gandhi International airport, secunderabad, Nampally aur kachiguda railway stations ki safri sahuliyaat mojood hain. Hotels ke aitebar se bhi Hyderabad mein kayi ek 5 aur 3 stars hotels mojood hain jabkay androoni safar ke liye hyderabad metro railway ke lawa Ola Uber deegar khangi taxi khidmaat bhi dastyab hain. Hyderabad ko Hindustan ka dusra sadar maqam bananay ki sifarish Maharashtra ke sabiq governor aur BJP ke senior rehnuma Vidyasagar rao ne ki hai. Rao ke tabsaray ek aisay waqt mein aaye hain jab qaumi Dar-ul-hukumat nai Delhi guzashta 2 hafton ke douran aloodgi ki tashweesh naak satah ke sath maholiyati aur sahet ke shadeed bohraan ki zad mein hai.

BJP ke senior rehnuma ne yaad dilaya ke hindustani aeen ke musannif Dr BR ambedkar ne Hyderabad ko Hindustan ka dusra Dar-ul-hukumat banaya tha. Ambedkar ne kaha tha ke agar mulk kabhi dusra Dar-ul-hukumat banana chahta hai to usay Hyderabad hona chahiye. parliament intikhabaat se qabal is mauzo par kuch baat cheet hui hai. Rao, jinhon ne sab se pehlay Telugu university mein munaqidah ek programme mein Hyderabad ke mulk ke dosray Dar-ul-hukumat ke tor par ubharnay ke imkaan ka zikar kiya tha aur unhoun ne ilaqai television ke ek do news channels ke interview ke douran apni baat ki wazahat bhi ki thi.

BJP rehnuma ne kaha ke is mauzo par vaqata kuch bhi honay se pehlay Telangana ki tamam siyasi jamaaton ko is muamlay par apne dairay mein tabadlah khayaal karna chahiye aur is ke baad riyasat ke liye is ka kiya matlab hosakta hai is par ek wazeh Tafheem haasil ki jaye. BJP pehlay hi keh chuki hai ke woh party mein is muamlay par baat karegi. agar riyasat ki tamam fariqain is maslay par wazeh aur mutahidda nateejay par pohnchain aur samjhota karen to yeh riyasat Telangana ke liye faida mand hoga. unhon ne mazeed kaha ke agar yeh shehar mulk ka dusra Dar-ul-hukumat banjata hai to Hyderabad ki ek nai aalmi tasweer manzar-e-aam par aayegi. unhon ne mazeed kaha ke mulk ke liye dusra sadar muqam rakhnay mein koi ghalti nahi hai, ek baar jab baat cheet khatam hojaye to mazeed tabadlah khayaal aur mumkina karwai ke liye markaz ko ek tajweez bheje jasakte hai. –YTN STAFF