Monday, May 20, 2024
HomeIndiaHyderabad mein Gujrat ki 16 Universities ke ishtiraaq se ” Study in...

Hyderabad mein Gujrat ki 16 Universities ke ishtiraaq se ” Study in Gujrat “ Show ka ihtimaam

Hyderabad: Gujrat ko taleem ke markaz ke tor par farogh dainay ki apni koshisho ko agay bedhate hue Gujrat hukoomat ke mehakma taleem ne aaj yahan Hyderabad mein ek Road Show ka ihtimaam kiya.” Study in Gujrat“ muhim ka aaghaz reyasti hukoomat ne dosray reyastoun aur beron mulk talba ko Gujrat mein taleem ke liye madoo karne ke maqsad se kiya hai.

Hyderabad ki Hotel Park Hayaat mein munaqidah is show ka maqsad Gujrat mein farogh pazeer taleem ke shobay ki ek jhalak faraham karne aur alla taleem ke husool mein dilchaspi rakhnay walay umeedwaroun ko riyasat Gujrat ke pesh kardah mawaqay se Hyderabadi awam ko waaqif karwana tha. Dilchaspi rakhnay walay umeedwaroun ko mazeed tafseelaat faraham karne ke liye riyasat ke alla darja ke NBA aur NAAC ke manzoor shuda idaroun ke numainday wafad ne is show mein shirkat ki.

Is mauqa par taqreer karte hue Gujrat ke janglaat aur qabaili behbood ke wazeer Ganpat Sinha Vasava ne kaha ke 1990 ka wo baha bhi tha jab Gujrat ke talba ko beroun riyasat safar karna padta tha taakay wo taleem haasil karen lekin ab Gujrat ne taleem ke maidan mein behtari ki hai aur ab nah sirf hamaray talba balkay deegar reyastoun aur Hindustan se baher ke talba bhi Gujrat mein rahaish pazeer hokar taleem haasil kar saktay hain. Unhoun ne mazeed kaha hai ke is ahmiyat ke pesh e nazar Chief Minister Shree Vijay Rupani ki rahnumai mein ab Gujrat ko Hindustan ke taleemi markaz ke tor par farogh dainay ke liye ek pehal ki gayi hai.

Gujrat Universition ki tadaad mulk ki alla tareen reyastoun mein se ek riyasat hai jis ne is haqeeqat ko saakh faraham kiya ke riyasat ne Generic ke sath sath khusoosi collegeoun ki bek waqt taraqqi ko bhi yakeeni banaya hai. Unhoun ne mazeed kaha hai hai Gujrat mein behtar taleem ke mawaqay ki ek buneadi wajah aman o amaan aur behtar nizaam ke sath sath mehfooz mahol hai. Hindustan aur beroun mulk se anay wali sarmaya kari ko raghib karne ke alawa riyasat ke taleem ke shobay ne Hindustan aur duniya ke mukhtalif hissoun talba ki ek badi tadaad ko alla taleem haasil karne ke liye raghib kiya hai. Is waqt riyasat mein 10 hazaar ghair mulki talba hain jo taleem haasil kar rahay hain.

Gujrat mein talba ne ek qabil zikar karobari rujhan dekhaya hai jo Student Starts up aur Insurance Policy ke taawun se tarteeb diye gaye Starts up hai. Mehakma taleem ne rawan mah ke shuru mein Kuwait aur Dubai mein Gujrat ke Road shows mein study ka ihtimaam kiya taakay beroun mumulik se ziyada talba ko riyasat ki taraf raghib kiya jasakay. Is mai Guwahati, Lacknow, Patna, Ranchi aur Indore mein isi terhan ke Road Show ki maizbani ki hai aur January ke mahinay mein Raipur aur Nashik sameit shehroun mein bhi isi terhan ke Road shows ki maizbani ki gayi hai. Is road show ka ihtimaam Pandit Deendayal Petroleum University ke ishtiraaq se kiya gaya hai jo is ki shiraakat daar hai. Gujrat ki 16 universition ne Road Show mein shirkat ki aur Hyderabad se University ke numaindoun se baat cheet ki. –YTN STAFF