Sunday, May 19, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein gharon ki khareed-o-farokht mein izafah

Hyderabad mein gharon ki khareed-o-farokht mein izafah

Hyderabad: Agarchay mulk ke tamam baday shehar coronavirus ke lockdown ke asraat se bahaal ho rahay hain is douran Hyderabad ki asliyat bilkul wazeh hai nah sirf Hyderabad mein rehaishi makanaat ki khareed-o-farokht mein izafah huwa hai balkay Hyderabad mein bhi daftari kirayon mein izafah darj kiya ja raha hai. Bain ul aqwami amlaak ki mushawarti Knight Frank India ki ek Report ke mutabiq Hyderabad mulk ka wahid rehaishi bazaar hai jis mein salana qeemat mein 4 feesad izafah dekha gaya hai, Is ke baad Bangaluru mein is mein 3 feesad izafah dekha gaya hai.

Saal 2020 ke teesray sah mahi arsay mein 8 baazaaron mein 6 baazaaron mein ost qeematon mein 3 taa 7 fi sad ki kami waqay hui. Doosri janib is arsay ke douran Hyderabad mein 1609 Unit farokht kiye, Jab ke lockdown ke douran yeh saal ke dosray sah mahi arsay ke douran 974 aur aur pehlay sah mahi arsay mein 3808 tha. Ab rehaishi shobay ne rawan saal ke teesray sah mahi mein mein behtari ke assaar dekhna shuru kardiye hain. Report ke mutabiq Hyderabad aur Bangaluru ke Dealers ne talabb ki farahmi ke sazgaar halaat mein qeematon mein istehkaam barqarar rakha hai. Developers is daur mein Digital Platform ke fa-aal istemaal ke zariye kharidaron ki dilchaspi haasil karne ke qabil thay, Taakay purkashish gharelo qarzon ke ilawa sarfeen ki deegar sahuliyaat faraham ki jaye. Alawa azeen rehaishi makanaat ke farokht mein gharelo qarzay ki sharah sood ne bhi madad ki.

Report ka 8 baday shehron mein takhmeenah hai ke gharelo farokht ka hajam teesray sah mahi mein 2.5 guna izafay se 33403 Units par pahonch gaya jabkay dosray sah mahi mein yeh 9632 unit tha. Naye rehaishi unit ka teesray sah mahi ke aaghaz mein 4.5 guna badh kar 31106 unit hogaya hai jabkay pichli sah mahi mein yeh 5584 unit tha.

Knight Frank India ke Chairman aur Managing Director Shashir Baijal ne kaha agay ab tehwar ka mausam Developers ke liye intehai ahem saabit hoga. Yeh ikhtitami arsa sarfeen ke liye munasib waqt saabit ho sakta hai jo munasib maali istehkaam rakhtay hon woh sarmaya kaari ki simt badh satke hain. Mustaqbil mein rehaishi makanaat ki khareed-o-farokht ke baray mein unhoun ne kaha hai ke is ka inhisaar aindah mahina Hyderabad mein maeeshat mein bahaali ki raftaar aur par monhiser hai.