Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein elevated express corridor ka sang bunyaad

Hyderabad mein elevated express corridor ka sang bunyaad

Hyderabad: Shehar Hyderabad jo taizi se taraqqi kar raha hai, Aaj ek aur sang mil uboor kiya kyunkay Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) ne ek aur elevated express corridor ki taamer ka beda uthaya hai. SRDP Project ke tehat Nalgonda choraha se Sayeedabad , IS Sadan ke darmain Owaisi Junction tak 523 crore rupiye ki laagat se corridor ki taamer ke kaam ka wazeer baldi nazam o wansaq ke KT Rama Rao ne sang bunyaad rakha.

Is programme mein wuzra, Mohammad Mahmood Ali, T Srinivas Yadav, Rukan parliament Asaduddin Owaisi, GHMC ke Mayor B Ram Mohan, Commissioner GHMC Lokesh Kumar aur dosaroun ney shirkat ki. Is project ki takmeel 24 mah mein hogi jis mein 2580 Kilometer par Ramps hon ge. Ye 4 lain ka Flyover hoga. Is ki taamer se Nalgonda choraha se Owaisi Junction tak traffic ki mushkilaat nahi hon gi. Chandrayangutta, Champpapet ki simt janay wali gadiyoun ko janay ke liye kam waqt lagey ga. Is rote par 2015 mein kiye gaye survey mein kaha gaya tha ke rozana is rote par 70,576 gadiyaan chala jalti hain taham 2035 tak ye tadaad 2 lakh se zayed gadiyoun ki hojaye gi.