Monday, September 16, 2024
HomeAjaayeb wo GaraayebHyderabad mein duniya ki sab se choti Masjid!

Hyderabad mein duniya ki sab se choti Masjid!

Hyderabad. Yun to Hyderabad kayi cheezon ke liye mumtaz hai. yahan ki yadgaar imaaraton ki apni aik infiradiat hai. Fun e taamer ke aitbaar se Hyderabad mein aisi bahot si emiratein hain jo apni misaal aap hai. jahan tak msajd ka talluq hai Hyderabad mein kayi aisi msajd hain jo nihayat hi purkashish hain aur dekhnay walon ko apni taraf mutwajjah krliti hain magar aik aisi bhi Masjid hai jis ko khud Hyderabadion ne faramosh kardiya hai. Yeh Masjid na hi fun taameer ka koi ajooba hai aur na hi itni badi hai ke iss ko shumaar kya jasakay magar yeh Masjid bahot jald na sirf apni infiradiat manwale gi balkay bain ul aqwami sayyahon ko bhi Hyderabad ki taraf raghib kere gi. Raqba ke aitbaar se yeh duniya ki sab se choti Masjid hai jis mein baushkil 10 musalli hi namaz ada kar saktay hain. Yeh Masjid agarchay bulandi par waqay hai magar abhi tak iss ki taraf koi mutwajjah nahi huwa hai magar Hyderabad mein assaar Qadima se dilchaspi rakhnay walon ke aik group ne is Masjid ki ifadiyat ko bhaanp liya aur ab is Masjid ko duniya ki sab se choti Masjid ka darjah dilanay ka bedah uthaya hai. Ji haan hum baat kar rahay hain Dargaah hazrat Syed Shah Imaduddin Mohammad Mahmood al Hussaini ki pahadi par waqay Masjid ki. Yeh Mir Mahmood ki pahadi Kishan Bagh mein waqay hai. Pahadi par chadh kar jab aap Dargaah ke entrance ke qareeb pahonchain ge to aap ko seedhi janib aik weeraan dhancha nazar aeye ga aur is ke Minar o Mehrab dekh kar aap jaan jayen ge ke yeh Masjid hi hai. Jab aap qareeb jaakar dekhen ge to aap ko hairat hogi is choti se Masjid mein na sirf mehrab hai balkay chota sa minbar bhi hai aur imam ke peechay sirf do safoon ki gunjayish hai aur aik saf mein bamushkil 5 musalli hi thaher satke hain. Agar aap zehan par thora sa zor den ge to waqai aap bhi yeh sochnay lagen ge ke is se choti bhi koi Masjid hosakti hai. Jahan tak hamari maloomat hain iss se choti to koi Masjid nahi hai magar Bhopal mein waqay dhai seedhi ki Masjid ko duniya ki sab se choti Masjid tasawwur kya jata hai. Raqba ke etebaar se dekha jaye to Hyderabad mein payi jaany wali yeh Masjid Bhopal ki Masjid se sirf aadhi hai. Iss Masjid ke seedhi janib seedhiyan bhi jis ke zareya oopar jaya ja sakta hai. Oopar aik mundair bana sun-hwa hai, jahan se shayed Azaan di jati thi. Bataya jata hai ke yeh Masjid hazrat syed Shah Imaduddin Mohammad Mahmood al Husaini ne hi taamer karwaya jinhon ne Abdullah Qutub Shah ke zamana mein Iraq se Hyderabad aamad ke baad Mir Aalam talaab ke aik janib waqay aik pursukoon pahadi ko apna maskan banalya tha. Woh darasal Iraq ke rehne walay thae magar apne peer hukum ki tameel mein Hyderabad ka rukh kya aur is pahadi ko muntakhib kya jahan un ki aakhri aaram gaah hai. Hazrat Mahmood ul Hussaini ke baray mein kaha jata hai ke unhon ne apni hayaat mein hi apni aakhri aaram gaah taamer karwali thi aur uss ki taamer ke liye unhon ne mazdooron ko jo muawza diya karte thae woh uss waqt ke Badshah ki janib se mazdooron ko diye jaany walay muawza se dugna huwa karta tha. Bataya jata hai ke woh haamila khawateen ko bhi dugna muawza diya karte thae. Iss Masjid ke baray mein hamein tareekh mein koi mawaad to nahi milta hai magar yeh samjha jata hai ke is Masjid ko bhi aap hi ne taamer karwaya tha. Tarz e taameer aur hazrat ke zamana ke aitbaar se itna to kaha ja sakta hai ke yeh Qutub Shahi daur ki Masjid hai. Muqami logon mein yeh baat mashhoor hai ke yeh Masjid jinoon ki hai. Shayed yeh wajah hai ke Dargaah ke atraaf abadi badh jaany ke bawajood bhi insaan iss Masjid mein namaz ada karne se ghabrate hain. Agarchay Dargaah ke ihata mein aik hissa ko Masjid mein tabdeel kardiya gaya hai magar iss Masjid ko abaad karne ki koshish nahi ki gayi. Mutawalli ki bhi adam dilchaspi ke baayis yeh Masjid aik khandhar mein tabdeel hokar rahe gayi is ke bawajood agar thodi si marammat kar di jaye to yeh Masjid kayi baras tak sahih wo saalim rah sakti hai. Maahir assaar e qadima janab Mohammad Safiullah ne bataya ke hamari yeh koshish hai ke is Masjid ko duniya ki sab se choti Masjid ka darjah dilaya jaye. Iss khusoos mein un ke aik dost Haseeb Jafferi ki nigrani mein iss Masjid ki paimayesh ki jarahi hai taakay iss Masjid ko duniya ki sab se choti Masjid honay ka darja haasil kya jaye. Unhon ne bataya ke haal hi mein unhon ne Bhopal ka daura kya tha taakay Hyderabad ki is Masjid ka Bhopal ki iss Masjid se mawazna kya jaye jisay ab tak duniya ki sab se choti Masjid samjha gaya hai. Mr. Safiullah ne kaha ke Hyderabad ki yeh Masjid haqeeqat mein Bhopal ki Masjid se choti  hai. Unhon ne iss yaqeen ka izhaar kiya ke jab hum is Masjid ke hudood arabaa paish kar dein ge to duniya yeh tasleem karley gi ke waqai Hyderabad ki iss Masjid se choti Masjid koi aur nahi hai. Unhon ne yeh bhi kaha ke Turkey walay bhi yeh daawa karte hain ke un ke paas bhi duniya ki sab se choti Masjid hai jis mein imam ke alawa sirf do log hi namaz ada kar saktay hain magar koi bhi iss ko Masjid tasleem nahi karta chunkay sirf do logon ke liye banai gayi jagah ko Masjid kehna durust nahi hai. Unhon ne hukoomat Telangana se bhi khwahish ki ke is Masjid ki nighadasht ke iqdamaat kiye jayen chunkay jab is Masjid ko duniya ki sab se choti Masjid ka darjah mil jaye ga to s ka mushahida o nzarah karne ke liye duniya ke konay konay se log aanay lagen ge.