Tuesday, May 7, 2024
HomeSliderHyderabad mein corona ke mamlaat par qaboo paanay ke iqdamaat : Eatala...

Hyderabad mein corona ke mamlaat par qaboo paanay ke iqdamaat : Eatala Rajender

Hyderabad:  Telangana ke wazeer-e-sahet Eatala Rajender  ne yaqeen dehani karwai hai ke Hyderabad mein Covid-19 infection ki badhti tadaad par jald az jald qaboo panay reyasti hukoomat iqdamaat kar rahi hai.

Corona Virus ke badhatay hue mamlaat ke pas manzar mein wazeer rajendar ne sahet ke aala ohdedaron ke sath waba par qaboo panay ke iqdamaat ka jaiza liya aur awam ko naa-ghabranay Talqeen nahi ki balkay zaati satah par tamam ahteyati tadabeer ikhtiyar karne ka mashwara diya.

unhon ne kaha ke hum ney ghair mulki inkhilah ko 14 din ke waqfay se mutaliq hotels mein rakha hai. un mein se kuch ko mamlaat, gurdoun ki daimi beemari aur deegar paicheeda bimarion ka saamna karna padta hai. kuch khawateen haamla hain aur inhen qiyam ke douran sahet ki mushkilaat ka saamna karna padta hai. Rajendar ne Dr Harsh vardhan par zor diya ke woh aisay afraad ko saat din baad corona virus ka test lenay den aur agar woh manfi report haasil karen to inhen ghar rawana kardiya jaye. YTN STAFF