Hyderabad: Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) ke ilaqay riyasat Telangana mein corona ke Hot Spot banay hue thay lekin pichlle ek hafta ke douran corona ke mamlaat mein kisi qader kami dekhnay mein aayi hai lekin doosri janib Telangana ke chand azlaa mein corona ke mareezoun ki tadaad mein izafah dekha gaya hai.
Guzashta ek hafta ke douran GHMC mein corona ke darj mamlaat ki tafseelaat ye hain: July 14- 815, 15-796, July 16- 788, July 17- 806, July 18-667, 19-557 aur July 20- 510. GHMC ke sath, Is ke ham saaya Rangareddy aur Medchal azlaa mein bhi wabai bemari phelnay ke baad se kaafi tadaad mein mamlaat Report hue hain. Ek taweel arsay se riyasat ke bohat se azlaa mein is virus ka phelao kam tha. Taham haliya dinoun mein kul 33 azlaa mein se kuch mein Infection mein izafah dekha gaya hai.
Misaal ke tor par, Zila Kareem Nagar mein betaye gaye misbet mamlaat ye they: July 14 ko 29, July 15 ko 41, July 16 ko 92, 17 ko 77, July 18-58, July 19-27 aur July 20 ko 87 mamlaat. Zila Nalgonda mein 14 July ko 38, July 15-58, July 16- 64, July 17- 35, July 18-46, 19 July ko 26 aur July 20 ko 24 shaamil hain. Warangal shehri zila: July 14 ko 30, July 15- 44, July 16- 47, July 17- 51, July 18- 37, July 19- 117 aur 20 July 20- 73 mamlaat darj huve. Telangana mein 20 July tak Covid19 ke majmoyi mamlaat 46274 thi.
Reyasti hukoomat ke Bulletin ke mutabiq, Majmoi namona ki misbet ki sharah 16.8 feesad thi. Telangana jo apne mobayyana tor par kam testing ki wajah se tanqeed ki zad mein tha lekin is nay guzashta kayi haftoun se namonoun ki jaanch mein taizi layi hai. Yakam July tak majmoi tor par janjne walay namonoun ki tadaad 92797 thi. 20 July tak test kiye gaye namonoun ki kul tadaad 2,76,222 thi.