Monday, April 21, 2025
HomeIndiaHyderabad mein CAA, NRC ke khilaaf ”Million March“ Hazaroun afraad ki shirkat

Hyderabad mein CAA, NRC ke khilaaf ”Million March“ Hazaroun afraad ki shirkat

Hyderabad: Hafta ke roz, Mutanazia qawaneen, shehriat tarmeemi Act ( CAA ), National Register of Citizenship ( NRC ) ke khilaaf shehar ke Indra park mein munaqidah ”Million March“ mein shehar ke mukhtalif ilaaqoun se hazaroun afraad ne shirkat ki, Jin mein nojawan, Buzurag hazraat, Khawateen aur bachay sabhi shaamil they. Mazkorh Million March janab Mushtak Malik ki sadarat mein munaqqid kiya gaya, Aur is programme ke ineqad mein ”APA aur TSJAC sameit 40 tanzeemen shaamil then.

Un mein talba, Aqlitien, Dalit aur baen baazu ki tanzeemen shaamil then. Million March ke mauqa par Majlis Bachao Tehreek ( MBT ) ke rehnuma Amjadullah Khan ne mukhatib karte hue kaha ke ”RSS ke Agendoun aur police Agendoun ki janib se programme ki ijazat mustard karne ki afwahoun ke ba wujood bhi ye programme kamyaab hoga. unhoun ne awam se kaseer tadaad mein shirkat ki darkhwast ki.

Pehlay is March ke ineqad ka maqam Necklace  Road bataya gaya tha, Magar hafta ke roz is ke maqam ko lower Tank Bund road par Necklace Road se is March ko Indra park Dharna Chowk muntakil kar diya gaya tha. Telangana aur Andhra Pradesh ( JAC ) ki muslim tanzeem JAC ke wafad ne is se qabal Necklace road par 28 decemeber ko Million March karne ka mansoobah banaya tha, Lekin Central Aria Police ne is ki ijazat dainay se inkaar kardiya tha, Jis ke baad JAC ne Telangana high court se Ruju  kiya tha. High court ne Telangana police ko JAC ki darkhwast par nazar sani karne ki hidaayat ki thi. Jis ke baad police ne dopehar 2 bajey se shaam 5 bajey tak is Million March ki ijazat di

Mutadid tanzeemoun /Trade Union ne mazkorh ehtajaji March ki himayat ki. Taajiroun ko ehtijaj mein shirkat ki ijazat dainay ke liye market union ne ek band ka elaan kiya. Shehar ke mukhtalif ilaaqoun mein Schools band rahay. Aur badi tadaad mein mukhtalif shoba hayaat se talluq rakhnay walay logoun ne is March mein shirkat ki. Shehar ke west mein waqay Indra park ki sadke Narendra Modi hukoomat ke khilaaf hazaroun mard o khawateen aur bachay qaumi parcham, Banners aur Playcards thamaay naaray laga rahay they. Kayi logoun ne to subah se hi pendal mein jama hona shuru kar diya tha. Police ne Security ke sakht intizamaa kiye they. Jummay ke roz shehar ke mukhtalif masajid mein awam ko qaumi parcham takseem kiye gaye.

Police ne shehri muzahireen ki kaseer tadaad ko dekhte hue Dharna Chowk ke peechay waqay NTR  stadium ko khol diya tha. Aur awam ne kaseer tadaad mein is March mein shirkat ki daur daur tak insanoun ke suroun ka samandar dikhayi day raha tha. Is March ke douran ehtajaji muzahireen ki janib se ”Inqelab Zindahbad“ Narendra Modi Down Down“ Jaisay naaray lagaye gaye. Gharelo khawateen, Buzurag hazraat sameit Muslim khawateen bhi badi tadaad mein is March mein shaamil huven. Is ke ilawa shehar ke bohat saaray talba bhi apne school o college ko chode kar is Million March mein shirkat ki. Is ke ilawa pathargatti ( Purana Shehar ), Aur Abids jaisay baazaaroun mein karobari afraad ne bhi is ehtijaj mein shaamil honay ke liye apni dukanain band rakhen. Ye Hyderabad mein CAA ke khelaf ab tak ka sab se bada ehtajaji March tha.

Is March mein logoun ke hathoun mein Banners aur Playcards they, Un Bannroun par kuch dilchasp jumlay tehreer they maslan ”Ham maringe, Lekin CAA, NRC aur NPR qubool nahi karenge“. ”Asal masail maeeshat, Taleem aur sahet hain, Nah ke Hindu, Muslim, Pakistan aur NRC“. Waghera.

March mein shareek taalib ilm Syed Sajid ne kaha ”CAA Musalmanoun ke sath Imtiazi sulooq hai, Hum usay qubool nahi karenge. Isi tarah ek gharelon khawateen Zohrah Begum ne kaha ”CAA wahid masla nahi hai. Hukoomat NPR shuru karne jarahi hai, Jo NRC ki taraf pehla qadam hai“. Unhi ki terhan hazaroun logoun ne mukhtalif tanzeemoun ki janib se ihtimaam kiye gaye ”Million March“ mein shirkat ki aur mutanazia qanoon CAA, NRC, aur NPR ke khelaf par zor ehtijaj kiya. –YTN STAFF