Saturday, May 10, 2025
HomeLatest NewsHyderabad mein anqareeb mazeed 150 bastii dawakhane ke qiyam ki faisla

Hyderabad mein anqareeb mazeed 150 bastii dawakhane ke qiyam ki faisla

Hyderabad: Shehar Hyderabad ko aglay 3 mahino mein mazeed 150 bastii dawakhanon faraham karne ki tayyariyan zor-o-shor se jari hain. Hyderabad mein pehlay hi 200 bastii dawakhane apni khidmaat injaam day rahay hain jin mein ab mazeed izafah hoga. GHMC hudood mein 150 division hain aur hukoomat ney 2 bastii dawakhanon ko fi division ki manzoori di hai. Taham un jaghon par jahan ghareeb afraad ki tadaad ziyada hai, Izafi bastii dawakhane ko Chief Minister ke zamray mein shaamil kiya ja raha hai. Is se qabal Assembly mein Chief Minister K Chandrashekhar Rao ney usay behtareen iqdaam qarar diya.

Is zimn mein unhoun ney kaha Hyderabad mein bastii dawakhane ka aaghaz kiya. Yeh behtareen iqdaam hai. Is se qabal Hyderabad mein siwaye chand shehri sahet marakaz ke ilawa kuch nahi tha. Woh Covid-19 ke bohraan mein bhi achi terhan se kaam kar rahay hain. Telangana hukoomat makanon ki sahoolat ke liye jahan double bedroom scheme par amal pera hai wahein un makanon mein rehne walay afraad ke liye bastii dawakhane ka behtar intizam kiya ja raha hai.

Aosatan ek bastii dawakhane har din mein 100 ke qareeb mareezon ki ki tashkhis karta hai aur yahan taqreeban 53 mukhtalif qisam ke amraaz ki muft khidmaat hain, Jaisay OPD mushawarat, Bunyadi Lab ki tashkhis, Duwaein, qabal az paidaiesh / Zachgi baad ki dekh bhaal, Aur BP aur Diabetes jaisi ghair mutaddi bimarion ki screening. Yaad rahay ke Telangana hukoomat ney bastii dawakhane ko ghareebon ki tibbi zaroriat ko poora karne ke liye muta-arif karwaya. Bastii dawakhanon ko kamyabi mili hai aur woh awaami sahet ki dekh bhaal mein ahem kirdaar ada kar rahay hain. Yeh kaam ek pilot project ke tor par shuru kiya gaya jis ny bohat jald hi kamyabi haasil karli hai aur awam behtar aur muft ilaaj se mustafeed ho rahay hain.