Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein anqareeb 57 theme park,123 crore ke masarif

Hyderabad mein anqareeb 57 theme park,123 crore ke masarif

Hyderabad: Hyderabad waisay to khobsorat aur tafrehi maqamat se bhara shehar hai lekin ab iski khubsurti mein izafah honay jaraha hai jaisa ke anqareeb shehar mein kayi ek theme park manzar aam par ajayeenge.

Fruit theme park, Barish ke pani ki katai karne wala theme park, dinosaur theme park aur mulk ka pehla dog park mehez aaghaz hai. Greater hyderabad municiple coopration (GHMC ) ne ab apni hudood mein 57 theme park tayyar karne ki tajweez paish ki hai.

Is iqdaam ke tehat municiple coopration ne 57 parkon ki nishandahi ki hai, jis mein jald hi naye theme parks tayyar kiye jayenge. Themes aur parks tayyar karne ke liye pehlay hi tenders jari kardiye gaye hain. Jin naye mozuaat ko hatmi shakal di gayi hai un mein knowledge park, ek animal kingdom park, ek topeersy garden, ek herbal theme park, khawateen ka park, ek adventure theme park, ek community park, children park, ek golf theme park aur science theme park qabil zikar hain.

Municiple coopration suchaliya nagar, LB nagar zone, teachers colony, LB nagar zone aur TNGO colony, sri lingam pally zone mein khawateen par mabni theme parks bhi tayyar kar rahi hai.

Yeh pehla mauqa hai jab municiple coopration shehar mein aisay parks tayyar karne ka mansoobah bana rahi hai. un parkon mein khawateen ke liye khusoosi intezamat kiye jarahay hain jaisa ke un parkon mein haamla khawateen samait khawateen ke liye bohat si sahuliyaat muyassar hongi. GHMC ke ek senior ohdedar ne kaha ke un parkon mein haamla khawateen ka section, workshop section, yoga aur health section, tafrehi samaan samait mukhtalif shobay honge.

Un 57 parkon ko 123 crore rupay ki laagat se tayyar kiya ja raha hai. beshtar kamon mein engineering aur civil works, sabzara aur lawn ke deegar kaam shaamil hain jo 15 feesad hain. unhon ne mazeed kaha ke pehlay hi bohat saaray parkon mein kaam jari hai aur taqreeban 6 mah ke douran woh marhala waar awam ke liye khol diye jayenge.