Monday, May 13, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein ahem maqamat par CCTV Camera

Hyderabad mein ahem maqamat par CCTV Camera

Hyderabad: GHMC ke Commissioner DS Lokesh Kumar ne Zonal Commissioner aur HoDs ko hidayat di hai ke Closed Circuit Television ( CCTV ) nigrani camera ko hassas maqamat par mehakma police ke sath un ke taawun mein nasb karen taakay un ilaqon mein awaami hifazat ko yakeeni banaya jasakay jin ka abhi tak ihata nahi kiya gaya hai. Yeh Camera ek mah ki muddat mein lagaye jayen ge.

CCTV tamam shanakht kardah kachi abadiyon Double Bedroom Housing Complex, Bastii Dawakhanon, Sarkari dawakhane ke dakhli raastoon, Mujawaza marboot township mansoobon, Bus Stations, Mazhabi maqamat, Jheelon aur Parks, Under Pass, Transfer Stations, Shelter Homes, Night Shelters, Petrol Pump Bank, Street Vending Zone, hawker zones, Waghera mein lagaye jayen ge.

Hyderabad jald hi China ke kuch shehron ke baad duniya ka sab se ziyada survey shuda shehar ban kar samnay aaye ga. Jald hi, Shehar mein 10 lakh izafi CCTV camera lagen ge jo 68 lakh se ziyada abadi par nigah rakhen ge. Ek tehqeeq ke mutabiq Hyderabad mein har 1 hazaar afraad par 30 CCTV Camera hain jis se yeh mulk mein sab se bhaari awaami nigrani ke Coverage ke sath Metro shehar ban jata hai aur duniya bhar mein aisay shehron ki top 20 fehrist mein jagah ko yakeeni banata hai. Is waqt saaray shehar Hyderabad mein 3 lakh se ziyada nigrani camera nasb hain. Reyasti wazeer KT Rama Rao ne kaha ke hukoomat shehar mein behtar nigrani ke liye mazeed 10 lakh CCTV camera nasb kere gi.

Yaad rahay ke haliya dinon mein police hukkaam ne yeh daawa kiya hai ke CCTV Cameras ki wajah se shehar Hyderabad mein juraim ka graph kaafi kam huwa hai kyunkay waqeat mein police ko mujrimon tak rasai mein CCTV footage ne kaafi madad faraham ki hai.