Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadHyderabad mein aglay 24 ghantay pani ki farahmi nahi hogi

Hyderabad mein aglay 24 ghantay pani ki farahmi nahi hogi

Hyderabad: Pipeline ki murammat ke kamon ki wajah se shehar Hyderabad ke mutadid ilaaqon mein peenay ke pani ki farahmi nahi rahay gi. (HMWSSB) Hyderabad Metropolitan Water Supply And Sewerage Board nay murammat ke kamon se mutaliq notice jari kiya ke 2 September ko subah 6 bajey se 3 September subah 6 bajey taq Hyderabad mein peenay ke pani ki farahmi mein nahi hon gi aur logon ko yeh bhi mashwara diya ke woh do din ke pani ka zakheera rakhen.

Hyderabad Metropolitan Water Supply And Sewerage Board ney mazeed bataya ke Hyderabad ko taaza pani ki supply karne wali Krishna fees 21,400mm mean Ring-1 Pipeline ke ek hissa ka murammati kaam jari hai, Taham Hyderabad ke kuch ilaqon mein pani ki farahmi band hogi. Shehar Hyderabad ke jin ilaqon mein murammat ki wajah se 2 September se 3 September ke darmain 24 ghantay pani Fareham nahi hoga, Un ilaqon ke naam mandarja zail hain:

Mehdipatnam, Karwan, Langer House, Kakatiya Nagar, Humayun Nagar, Tallagadda, Asif Nagar, MES, Shaikhpet, OU Colony, Tolichowki, Mallepally, Vijay Nagar Colony, Bhojagutta, Jiaguda, Red Hills, Secretariat, Old MLA Quarters, Allanda, Himayatnagar, Budvel, Hyderguda, Rajendranagar, Upparpally, Suleman Nagar, MM Pahadi, Attapur, Chintalmet, Kishanbagh, Manikonda, Gandhanguda, Narsingi, and Kishmatpur.