Monday, April 21, 2025
HomeHyderabadHyderabad Mein Aaindah 3 Dinoun Mein Shadeed Barish Ki Pesh Qiyaasi

Hyderabad Mein Aaindah 3 Dinoun Mein Shadeed Barish Ki Pesh Qiyaasi

Hyderabad : Riyasat Telangana ke alawa padosi riyastoun mein bhi aindah teen dinoun ke douran shadeed aur tez barish ki pesh  qiyaasi ki gayi hai jisse umeed ki jarahi hai ke mausam barsaat ke shuru honay ke daidh mah guzar jaane ke bawajood barish jo kam hui hai iski Bhar payi ho payegi. India mitrolojikl department ( aayi MD ) ki janib se jari kardah tafseelaat mein kaha gaya hai ke riyasat Telangana ke alawa Chatisgarh  Maharasthra aur Karnataka ke ilaqoun mein aindah paanch dinon ke douran behtar barish ki umeed ki ja rahi hai jabkay riyasat Telangana mein aindah teen dinon ke douran tez aur shadeed barish ki pesh  qiyaasi ki gayi hai. IMD ke hukkaam ki janib se yeh umeed bhi ki ja rahi hai ke aindah teen dinon ke douran honay wali baarisho se Godavari, krishna aur  daryaaon mein pani ki satah mein izafah hoga.

Shadeed aur tez barish ki pesh  qiyaasi se jahan kisanoun ne raahat ki saans li hai wahein shehar Hyderabad mein guzashta roz hui barish ki wajah se kayi ek masail samnay aaye hain aur khaas kar sirf adhay ghantay ki barish ki wajah se shehar hyderabad ki besh tar sadkein jheeloun mein tabdeel ho gayi theen aur jagah jagah traffic jaam ka masla dekha gaya. barish ki wajah se honay walay masail ki yaksoi ke liye GHMC ne kayi ek sahuliyaat faraham ki hain jis mein emergency control room ka qiyam ke alawa MY GHMC app bhi muta-arif kiya gaya hai aur 100 number ko phone karte hue madad haasil karne ki sahoolat bhi mojood hai lekin iske bawajood guzashta roz ki barish se hyderabad ke beshtar ilaqon mein awam ne mukhtalif masail ki shikayat ki hai. Telugu academy, Nampally, Himayat nagar, Narayanguda, Masab tank aur unke deegar qareebi ilaqoun mein kayi darakht ukhadh kar sadkhoun par gir padhe jis ki wajah se traffic ka nizaam darham barham hua.

Is barish ki wajah se IIT ka markaz hitec city jo pehlay hi barish ke pani ke jama honay ki wajah se masail ka shikaar hai guzashta roz hui barish ki wajah se IT mulazmeen ko traffic mein phansna pada. Iske alawa apni khangi gadiyon se safar karne walay mulazmeen bhi kayi ek masail ka shikaar hue hain. Madhapur se NTR Garden ki simt jaane walay afraad ko ghatnon tak pani mein phansay rehne ke masail ka saamna karna pada hai. shadeed barish ki wajah se pani jama honay ki baais Gachi Bowli D F road par bhi traffic darham barham rahi. GHMC ki monsoon emergency team ko mukhtalif ilaqoun mein sargaram dekha gaya jo ke shehar ke mukhtalif aur ahem ilaqon mein barish ki pani jama honay ke baad is ki nikasi mein masroof dekhi gayi.

Aindah teen dinon mein shadeed barish ki pesh  qiyaasi ke pesh –e-nazar hukkaam ne awam ko mahswara diya hai ke woh nah sirf barish se bachney ke liye ahteyati tadabeer ikhtiyar karen balkay jin ilaqon aur raastoun par pani jama honay aur traffic ke bahao may ruukawaton ka khadsha hai un raastoon ki bajaye deegar rastay ikhtiyar karte hue dafatir aur ghar ka rukh karen.
-YTN STAFF