Thursday, April 25, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein aainda dino mein musaladhar baarish ka intebah

Hyderabad mein aainda dino mein musaladhar baarish ka intebah

Hyderabad: Hyderabad ke Saath Telangana ke izlaa mein agle teen dino mein mazeed baarish mutawaqqeh hain. Junoob e magribi mansoon ek baar phir riyasat par faal hone ke baad Telangana mein tez se mutawassat baarish ki paish khiyasi ki gayi hain. Muhkama mausamiyat ne Hyderabad ke liye zard intebah aur nirmal jagtiyal sarsila KamaReddy, RangaReddy, Mehboob Nagar, Medak aur Khammam izlaa ke liye orange intebah jaari kiya hain.

Hyderabad ke liye zard intebah shehar mein 7.5 se 15 mili meter tak musaladhar baarish ka imkaan zahir karta hain.Ek hi waqt mein zard aur orange intebah ka Matlab hain bhari se intehai musaladhar baarish aur un mein se kuch izlaa mein 15 mili meter se 33 mili meter tak barish ki paish khiyasi ki gayi hain. Ddaree asnaa Hyderabad mein jume raat ko chand muqamat par shadeed baarish huwi jis se mausam khush gawar huwa hai lekin baaz nashibi ilaqon mein barish ka pani jamaa hone se awaam ko mushkilaat ka saamna bhi karna pada hai.

Shehar ke kuch hisson mein din ke auqaat mein halki bunda bandi dekhi gayi jabke Golconda ke aas pass ke ilaqon mein 14 mili meter baarish record ki gayi jo ke shehar mein sab se zyada baarish ka record raha. Shehar mein zyada se zyada darje hararat 31.2 degree centigrade record kiya gaya. Shehar ne is mansoon season mein maah August mein nisbatan zyada kushk saali ka tajurbaa kiya hain taa hum muhkama mausamiyat ke mutabiq junoob e magribi mansoon ek baar phir Telangana par sargaram hain. Hyderabad ke aas pass ke kai izlaa mein musalsil baarish ho rahi hain jabke jumeraat ko jagtiyal ke sri kunda mein sab se zyada 83.5 mili meter baarish huwi jo ke riyasat mein taa haal sab se zyada baarish ka record hain.