Thursday, May 2, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein aadhey se ziyada traffic Signals nakara

Hyderabad mein aadhey se ziyada traffic Signals nakara

Hyderabad : Hyderabad ko aalmi shehar bananay ke ek janib daaway kiye jarahay hain to doosri janib shehar-e-Hyderabad ka infrstructure batadreej naaqis hi ho raha hai. GHMC ke commissionaire Dana Kishore ki janib se hyderabad traffic intergratitude  managment system ( HERIMS) ka jaiza liya gaya jis mein yeh inkishaaf hua hai ke Hyderabad mein mojood traffic signal ki nisf tadaad se ziyada ghair karkird hai. GHMC ke ohdedaron ke mutabiq Hyderabad mein 221 traffic Signals ka jaiza liya gaya hai un mein 80 behtar karkardagi anjaam day rahay hain jabkay un mein beshtar kisi na kisi takneeki wujohaat ki bina par kaam hi nahi kar rahay hain.

Iske alawa azeen 55 aisay traffic Signals hain jinki moujoodgi U-turn aur deegar sahuliyaat ki wajah se be -Faiz dikhayi deti hain jabkay sirf 80 aisay Signals hain jo-ke behtar sorat-e-haal mein mojood hain. Bharat electronics limited ( BEL) ka HTRMIS ke sath mo-ahida hai halaanke BEL traffic Signals ki karkardagi ke liye zimma daar hota hai lekin yeh Hyderabad ke traffic Signals ko behtar kar-kard ke miyaar tak pohanchanay mein nakaam hain. BEL hyderabad ke Signals ki nighdasht ke liye maali taawun bhi jari karne mein nakaam hain aur woh is kaam ke liye matlooba tadaad mein amlah ko faraham karne mein bhi nakaam hain. GHMC ney pehlay hi yeh mansoobah banaya hai ke wo shehar mein 90 naye traffic Signals ko yaqeeni banayega jis ke liye traffic police mehakma ke zareya ek surway bhi karwaya gaya hai. –YTN STAFF