Hyderabad. Hyderabad ko ‘bhikaryon se pak’ shehar bananay ki sayee ke taur par City Prison Department ne zayed az 9, 000 bhikaryon ko pakad liya hai. Inspector General Telangana Prison Department Mr. A Narsimha ne bataya ke jumla 300 bhikaryon ko baaz-abaadkari markaz ko bhej diya gaya jahan inhen taleem di jaye gi aur rozgaar faraham kya jaye ga. Police ne November 2017 mein bhikaryon ke khilaaf muhim ka aaghaz kya tha. Inspector General ne bataya ke un ke liye mukhtalif programmes waza kiye gaye hain jin mein taleemi programme bhi shaamil hai. Jo bhikari qabil aur jismani taur par fit hain hum unhen rozgaar bhi faraham kar rahay hain. Yeh jail nahi hai balkay baaz-abaadkari markaz jaisa hai. Unhon ne kaha ke bhikaryon ko pakadney ke baad agar woh apne makanaat ko wapas lautna chahtay hain to hum un ke rishta daaron ko talab karte hain aur phir un ki counselling karte hain aur unhen riha kardete hain. Unhon ne kaha ke shehar mein bhikaryon ko pakadney ki muhim jari rahay gi. alawa azeen ehkaam ki khilaaf warzi karne wale Taazirat e Hind ke mutaliqa dif-aat ke tehat Hyderabad city Police Act ki dif-aat ke mutabiq saza ke mustahiq hon ge. Mehakma Muhabis (Prison) Telangana ka maqsad Hyderabad ko bhikaryon se pak shehar banana hai aur hum chahtay hain ke saari riyasat Telangana mein is muhim par amal aawri ho. Mr. Narsimha ne bataya ke Director General Muhabis ne bhi hukoomat Telangana ko aik maktoob rawana karte hue saari riyasat Telangana ko bhikaryon se pak bananay ki muhim shuru karne ki ijazat talab ki hai. Unhon ne bataya ke guzashta baras ke avaakhr mein hum ne yeh muhim shuru ki thi aur is zimn mein do mraz baaz-abaadkari ka intizam kya tha. aik mard bhikaryon ke liye Chanchalguda Jail mein hai aur dosra khatoon bhikaryon ke liye Chirlapally Jail mein hai.