Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein 4 January ko CAA aur NRC ke khilaaf Million March...

Hyderabad mein 4 January ko CAA aur NRC ke khilaaf Million March nikaalne ka elaan

Hyderabad: Telangana aur Andhra Pradesh Joint Action Committee ( JAC ) baraye NPR, NRC ne mangal ko elaan kiya hai ke wo 4 January ko Hyderabad mein Necklace road par ek Million March ka ihtimaam keregi. Ullamaye ke mutabiq, JAC ko high court ke hukum par police ki ijazat lainay ki hidaayat ki gayi hai.

Is se pehlay, City police ne 28 decemeber ko tajweez kardah Million March ke liye ijazat di thi, Programme ka ineqad karne waloun ne high court mein police ke faislay ko challenge kiya. Justice T Vinod Kumar ki sar barahi wali bench ne mangal ke roz apna faisla sunaya. Tehreek muslim Shaban ke sarbarah Mohammad Mushtaq Malik ne high court mein police ke khilaaf darkhwast dair ki thi.

Muntazmeen ne elaan kiya hai ke mazkoorah programme shaam 4 bajey Hussain Sagar ke kinare munaqqid hoga. City police ne mukhtalif muslim tanzeemoun aur congress ki mukhalifat mein, Million March ki ijazat dainay se inkaar kar diya, Jis se police ko tanqidoun ka saamna karna pada. Majlis Bachao Tehreek ( MBT ) party ke tarjuman Amjadullah Khan Khalid ne city police ke mutassbana rawayya par sawal uthaya.

Unhoun ne kaha ke police ki janib se Asaduddin Owaisi  ki party AIMIM aur RSS Singh ko shehar mein baday pemanay par jalsay karne ki ijazat di gayi, Lekin law and order ke naam par Million March ki ijazat nahi di gayi.

Telangana Pradesh congress committee ( PCC) sadar Uttam Kumar Reddy ne RSS ke jalsay ki ijazat dainay aur musalmanoun ko March karne ki ijazat nah dainay par,City police commissioner Anjani Kumar par sakht tanqeed ki. Wazeh ho ke guzashta 2 haftoun se Hyderabad mein CAA, NRC aur NPR ke khilaaf muzahiray horahay hain. –YTN STAFF