Sunday, April 28, 2024
HomeHyderabadHyderabad mein 1500 se ziyada muhallay aur Colonies pani mein

Hyderabad mein 1500 se ziyada muhallay aur Colonies pani mein

Hyderabad: Is waqt Hindustan ke ilawa saari duniya mein Telnagana mein tofani barish aur Hyderabad ke kahi muhallay aur Colonies zair-e-aab honay ki khabar sar-e-fihrist hai. Dono shehron Hyderabad Secunderabad ki taqreeban 1500 Colonies mein pani jama hogaya. Kayi maqamat par ghutnon tak pani dikha gaya mangal ke din ke auqaat mein shuru honay wali barish ka silsila aadhi raat se bhi ziyada waqt tak jari raha jabkay charshumbe ki dopehar aur shaam ke auqaat mein dono shehron ke mukhtalif ilaqon mein halki se taiz barish record hui hai jabkay guzashta raat honay wali shadeed barish ke nateeja mein Hyderabad ke Gaganpahad ke qareeb Hyderabad. Bangalore qaumi shahrah ka kuch hissa toot kar beh gaya. Qareeb mein waqay talaab ka pushta toot jane ki wajah se qaumi shahrah Traffic ke liye band hogayi aur kayi ghanton ki jad-o-jehad ke baad two Wheeler ko jane ki ijazat mili. Is waqea mein rasta se guzarnay wali Cars beh gayeen aur 30 afraad doob gaye jin mein se 3 afraad ki lashain nikaali ja chuki hain. Is waqea mein Cars ku bhi shadeed nuqsaan pouncha.

Alawa azeen Moose Rambagh burj ko bhi shadeed nuqsaan pouncha aur is ke dotarfa lagai gayi lohay ki Fencing bhi pani mein beh gayi. Wazeer baldi nazam wansaq KT Rama Rao ne wahan Barricades laganay aur police ka bandobast karne ki hidaayat di. Chandrayangutta ki Jabeel colony mein 1 shakhs barish ke pani mein beh gaya. Taqreeban 30 gadiyon aur 3 afraad ke beh jane ki it-tila-aat hain. Secunderabad ki mashhoor colony ”Sandhi colony “ jo kay apni luxurious life ke liye kaafi mashhoor hai wo charshumbe ki shaam tak bhi zair aabb rahi aur kayi gharon ke ilawa taqreeban har imarat ka seelab jheel ka manzar pesh kar raha tha. Hyderabad Vijayawada Highway par taqreeban 1 Kilometer tak gadiyaan ruk gayeen.

Hyderabad mein Colonies

Abdullahpur ke qareeb taqreeban 10 kilometer tak gadiyaan there hui dekhi gayeen. Qaumi shahrah par barish ka pani behnay laga jis ki wajah se gadiyaan agay bhadne se qassar theen jis ki wajah se taqreeban 3 ghantay tak traffic ka nizam darham barham raha. Doosri taraf Chadarghat Rail ki partriyon Bridge ke paas barish ka pani jama hogaya jis ke nateeja mein Koti Dilsukhnagar jane wali gadiyon ka rasta band hogaya. Is ilaqa mein baday pemana par traffic jaam raha. Tofani barish ke pesh-e-nazar GHMC hudood mein High Alert jari hai. Barish ke pesh-e-nazar Hyderabad aur is ke nawahi ilaqon ki kayi sadkain band kardi gayeen. Barish ke sabab Shamshabad Airport ko jane wali sadak PVN RV band kar di gayi. Aglay ehkaam tak yeh rasta band rahay ga.