Hyderabad: Greater Hyderabad Municipal Corporation ( GHMC ) Hyderabad ke hudood mein awaami Bait-Ul-Khola ki tadaad mein izafah par tavajja markooz kiye hue hai. Awam ul naas ko ziyada se ziyada sahoolat pohanchanay ke liye ohdedaron nay naye Bait-Ul-Khola ki taamer ke amal mein taizi pida kardi hai. Dono shehron Hyderabad aur Secunderabad ki abadi 1 crore se tajawaz kar gayi hai aur lakhoon afraad beshtar kamon ke liye rozana sadkon par nazar atay hain.
Moazaat se bhi logon ki badi tadaad Hyderabad aati hai taham Bait-Ul-Khola ki kami ke nateeja mein un ko mushkilaat ka saamna karna padh raha hai. 15 August tak 3 hazaar Bait-Ul-Khola ki taamer ka nishana rakha gaya hai. Kayi afraad Bait-Ul-Khola ki adam dasteyabi ke sabab sadkon ke kinare pishaab karne ke liye majboor hugaye hain. Ye GHMC ke Swajh Bharat iqdaam ki nakami aur amraaz ki tadaad mein izafah ko bhi zahir karta hai. Corporation ne petrol pumps mein bhi Bait-Ul-Khola ki taamer ka beda uthaya tha jo samar aawar saabit nahi ho saka. Un halaat ke pesh-e-nazar ohdedaron ny
GHMC ke hudood mein 400 Bait-Ul-Khola pehlay hi se mojood hain jin mein se 133 BOT 109 are Prefabricated, 46 slubs,57 engineerings,15 are She toilets and 20 hain taham un mein se kayi khasta haali ka shikaar hain aur GHMC ke usoolon ke mutabiq nahi hain. GHMC ke usool ke mutabiq har 500 meter ki doori par ek Bait-Ul-Khola hona chahiye aur is hisaab se taqreeban 2500 Bait-Ul-Khola Hyderabad mein honay chahiye. Corporation ney 3000 awaami Bait-Ul-Khola ki taamer ka faisla kiya hai. Wazeer baldi nazam wansaq ke KT Rama Rao ki hidayat par ohdedaron ne beshtar shehron ke Bait-ul-Khola ke Models ka muaina kiya aur un ki taamer ka aaghaz karne ka faisla kiya. BOT tareeqakar ke mutabiq Main Traffic Junction, Main Roads aur Parks ke qareeb taqreeban 3 hazaar awaami Bait-ul-Khola ki taamer ka amal shuru kiya gaya. Is baat ka andaza lagaya jaraha hai ke har zone mein 500 Bait-ul-Khola hon ge.
GHMC nay LB Nagar, Kokatpally, Charminar, Serilingampally aur Khairtabad Zones mein maqamat ki nishandahi ki hai jabkay Secunderabad zone mein 229 maqamat ki nishandahi ka kaam karliya gaya hai. Taqreeban 140 Bait-Ul-Khola ki taamer ke kaam mukammal karliye gaye hain aur baqiya 237 maqamat par taamer ka kam jari hai.