Monday, May 12, 2025
HomeHyderabadHyderabad Mein 10 Feesad Kam Barish, August Mein Itmenan Bakhsh Barish Ki...

Hyderabad Mein 10 Feesad Kam Barish, August Mein Itmenan Bakhsh Barish Ki Paish Qiyaasi

Hyderabad : Shehar-e-Hyderabad aur uskay atraaf ke ilaqon mein guzashta Ek haftay se musalsal halki aur Mutawast barish ho rahi hai lekin iske bawajood mehakma mosmiyat nay jo adaad wo shumaar jari kiye hain is mein Hyderabad mein kam barish ki tafseelaat faraham ki gayi hain. Ab jabkay Monsoon ka nisf arsa mukammal ho chuka hai lekin iske bawajood hyderabad mein mamool se kam barish hui hai jaisa ke mah July mein barish ke jo record darj kiye gaye hain is mein mamool ki barish 110 millimeter honi chahiye thi lekin July mein hyderabad ki barish 93 millimeter record ki gayi hai.

Indian metro logical department ( IMD ) ki janib se Monsoon ke nisf arsa ki jo tafseelaat jari ki gayi hain un mein 1st June taa 31st July Hyderabad mein mamool ki barish 275 millimeters honi chahiye thi lekin is arsay mein hyderabad mein 203.3 millimeter barish hi record ki gayi hai jo-ke mamool ki barish ke baraks 11 feesad kam hai.

Mah June ke aaghaz se lekar July ke teesray haftay tak barish mein koi khaas tezi nahi dekhi gayi jabkay ke July ke aakhri haftay mein shehar ke baaz maqamat par kisi qader itmenan bakhsh barish hui hai. IMD hyderabad ke director YK reddy nay hyderabad mein Monsoon ke nisf arsay mein barish ki tafseelaat faraham karte hue ek janib yeh kaha hai ke is arsay mein shehar mein mamool se kam barish hui hai lekin mah august ki ibtidayi dinon mein hyderabad mein taiz barish ki paish qiyaasi jasakti hai. mah augst mein honay wali taiz barish se jo mamool ki barish kam hui hai uski pabachai ka bhi imkaan hai.

Reddy nay mazeed kaha hai ke mah-e-august ke pehlay haftay mein hyderabad mein behtar barish ki paish qiyaasi ki jarahi hai jis se nah sirf barish ki kami bhi poori hogi balkay ke zaraat ke shobay se jo masaiel judey hain unke hal honay ki bhi umeed hai. is ke alawa aisa khadsha bhi zahir kiya ja raha hai ke rawan baras Monsoon ke douran 10 feesad kam barish hui hai lekin 10 feesad kam barish ko mamool ke mutabiq hi samjha jata hai. mah-e-july mein jo barish is baras hui hai woh guzashta baras se kuch ziyada mukhtalif nahi kyunkay guzashta baras mah July mein bhi 92 millimeter hi barish record ki gayi thi. –YTN STAFF