Thursday, May 16, 2024
HomeHyderabadHyderabad main Zair-e-zameen pani ki satah mein tashweesh naak had tak giravat,...

Hyderabad main Zair-e-zameen pani ki satah mein tashweesh naak had tak giravat, Aabi bohraan ka khatrah

Hyderabad:  Shehar e Hyderabad Hindustan ke un chand ahem shehron Delhi, Chennai aur Banglore ke sath shaamil hai jin mein satah zameen ke neechay pani 2020 tak khatam honey ke khadshaat zahir kiye gay hain. Niti Aayog ki janib se shehar Hyderabad ki zair e zamin pani ki satah ke mutaliq jo report jari ki gayi hai is mein tashweesh zahir ki gayi hai ke haliya chand mahino ke douran Hyderabad ki zeer e zamin pani ki satah mein 4 meter ki kami aayi hai. Tashweesh naak haqeeqat yeh bhi hai ke guzishta 4 mahino ke douran Hyderabad mein zair e zamin pani ki satah mein 4.28 meters ki kami waqay huwi hai.

Hyderabad ke jo ilaqay aabi bohraan se sab se ziyada mutasir hain un mein Marredpally, Ameerpet, Mushirabad, khairatabad, Malkajgiri, Shaikhpet aur Asif Nagar sareferist  hain Telangana State Development Planning Society se mossola data ke baa mouajib 2018-19 ke douran 25 March tak 733 Mili Meter barish record ki gayi hai jo ke mamool ki barish 863 Mili Meter se kam hai yani 16 feesad kam barish huwi hai jabkay Hyderabad mein isi arsay ke douran 504 Mili Meter Barish record ki gayi jo ke 733 Mili Meter mamool ki Barish se kam hai yani Hyderabad mein bhi 299 Mili Meter Barish ki kami record ki gayi hai jis ke nateejay mein Guzishta baras mah October tak zair e zamin pani ki satah 15.11 meters thi lekin February mein mazeed geherai tak pahunchte huwe 19.31 Meter hochuki hai is terha Hyderabad mein guzishta chaar mahino ke douran zair e zamin pani ki satah mein 4.28 meters giravat darj ki gayi hai.

Hyderabad ke jin ilaqon mein zair e zamin pani ki satah mein tashweesh-naak giravat aa rahi hai un mein Marredpally, Asif Nagar, Bandalaguda, Humayun Nagar, Nampally, Khairtabad, Masab Tank aur Musheerabad qabil e zikar hain.

 

 

Y THIS NEWS STAFF