Hyderabad: Sabzion ki qeematon aasman ko churahi theen aur aam aadmi ki jaib par asar andaaz horahee theen, Guzashta chand dinon se batadreej kami aa rahi hai. Ye kami corona waba aur muqami satah par ugai gayi sabzion ke taaza stock ki baazaaron mein aamad ke nateeja mein huvi hai. Ek taraf shehri qabil dustarus qeematon par khush hain to doosri taraf kisaan un ki pedawar ki aqal tareen imdadi qeemat nah milnay ki wajah se mayoosi ke shikaar hain. Lockdown mein jo qeematein ziyada theen wo ab tabdarij kam hogayi hain.
Ohdedaron neh Hyderabad ke mukhtalif hisson mein mobile Ritu Bazaar qaim kiye taakay sasti sabzian farokht ki ja sakain. Tamotar jis ki qeemat 2 haftay pehlay 40 taa 50 rupiye fi kilo thi ab 15 taa 20 rupiye kilo hogayi hai. Guzashta 2 hafton ke douran zayed barish ke nateeja mein qeematon mein taizi se kami hui hai. Deegar sabzion ki qeematein is terhan hain. Began 30 rupiye kilo, Kareela 30 rupiye kilo, Bhendi 25 rupiye fi kilo, Hari mirch 15 rupiye fi kilo, Shimla mirch 55 rupiye fi kilo, Gobi 15 rupiye, Gaajar 56 rupiye kilo, Aalo 25 taa 30 rupiye fi kilo ke hisaab se faroqt ki jarahi hai.
Ritu Bazaar ke ek ohdedar ne daawa karte hue kaha ke tamam Items aam aadmi ki dustarus mein hain kyunkay kayi sabzian taqreeban 30 rupiye fi kilo ke hisaab se farokht ki jarahi hain. Gahkon ki tadaad Covid-19 ki wajah se Ritu baazaaron mein kam hogayi hai. Lockdown se pehlay wo 10 hazaar rupiye tak ki sabzi farokht kiya karta tha taham ab sorat-e-haal yaksar badal gayi hai aur wo 3 hazaar rupiye tak ki sabzi hi farokht kar padha hai. Ek gahak ne nishandahi ki ke wo hafta mein ek martaba bazaar jata hai taham is martaba is ke liye herat ki intahi nahi rahi kyunkay sabzion ki qeematon mein kami waqay hogayi. Doosri taraf kisaan is sorat-e-haal se mayoos hain jin ka daawa hai ke un ko aqal tareen imdadi qeemat nahi mil rahi hai aur wo bazaar mein sabzion ko laane ke liye honay walay transport ke akhrajaat ke bhi muthammil nahi hain.