Thursday, May 16, 2024
HomeHyderabadHyderabad main Corona ka assar: Mithai ke karobar mein khataas

Hyderabad main Corona ka assar: Mithai ke karobar mein khataas

Hyderabad: Eid, Saalgirah, Shadion ya ghar mein honay walay kisi bhi achay kaam ya taqreeb ke mauqa par mithai is ka hissa zaroor hoti hai taham corona ney sorat-e-haal ko mukammal tour par badal diya hai. 4 mah se kaarobar nah honay ki wajah se shehar Hyderabad ki mithai ki dukanat ke malkin mushkil sorat-e-haal ke shikaar hogaye hain jis ke nateeja mein kuch dukanat mukammal tour par band hogayi hain to baaz dukanat ke malkin Covid ke qawaid par amal karte hue dukanat ki ashya farokht karne par majaboor hain. Dukanat ke malkin ka kehna hai ke aam dinon ki bah nisbat un ke kaarobar mein 30 feesad ki kami waqe huvi hai.

Baaz dukanat band hogayi hain to baaz dukanat mein sirf Mixture, Chakodi, Bhoondi aur degar ashya ki tayari ke zareya dukanat chalaye jarahi hain. Vinayaka Chaturthi, Dasera, Diwali jaisay tehwaron par hi ab ye dukanat ke malkin umeed wabasta kiye hue hain. Corona ke mamlaat mein roz barrows izafah ke nateeja mein un tehwaron ke dinon mein un ki mushkilaat mein izafah hi hota ja raha hai. Gahkon ke baghair dukanat chalaye janey ke nateeja mein kayi dukanat ke mulazimeen apne aabadi maqamat ke liye rawana hogaye hain. Mithai ki kharidari mein logon ki dilchaspi mein bhi kami aati jarahi hai. Pehlay jahan mithai ke kayi Items dukanat par rakhay jatay they ab sirf chand ashya hi rakhtay hue un ki farokht ka kaam kiya jarha hai. Ab sorat-e-haal ye hai ke puranay gahak, Bharosa rakhnay walay hi dukanat se mithai ki kharidari ka kaam kar rahay hain.

Baaz dukanat ke malqeen ka kehna hai ke corona ki waba ke mauqa par baaz afraad ne baher ki ashya ki kharidari mein kami kar di hai jis ke nateeja mein un ka kaarobar mutasir ho raha hai. Un ka kehna hai ke corona waba se pehlay kisi bhi ahem taqreeb ke liye mithai zurori samjhi jati thi. Kayi afraad ghar mein Snacks ki kharidari karte they taham corona ki wajah se sorat-e-haal mukammal tabdeel hogayi hai. Kayi afraad gharon se nikalny se guraiz kar rahay hain aur jo afraad gharon se baher nikal rahe hain wo ahem mithayyon ki kharidari se gureez kar rahe hain kyunkay kayi afraad ke paas raqam nahi hai.

Is sorat-e-haal ke nateeja mein kayi mithai ki dukanat ke malkin un ko band karne par majboor hogaye hain. Ek dukaan ke maalik ne kaha ke corona ki wajah se 30 taa 50% kaarobar mein kami waqay hui hai. Unhoun ne kaha kay is ka teeka jald tayyar hoga to behtar aur munasib hoga. Har saal ke muqaabla 30 feesad tak mithayyon ki tayari ka kaam mutasir huwa hai. Kayi afraad apne gaon chalay gaye hain. Logoun mein khauf payajata hai jis ka niklana zurori hai.