Sunday, May 11, 2025
HomeSliderHyderabad ko Delhi ke khilaaf hauslay buland karne wali kamyabi ki zaroorat

Hyderabad ko Delhi ke khilaaf hauslay buland karne wali kamyabi ki zaroorat

Abu Dhabi: Captain Shreyas Iyer ki zair qayadat mein behtareen karkardagi ka muzahira karne wali Delhi Capitals ki team mangal ko Sunriser Hyderabad ke khilaaf IPL match mein jeet ki Hit rick  karne ke iraday se maidan mein utare gi jabkay ibtidayi 2 muqablay gunwanay wali Warner ki zair qayadat Sunriser Hyderabad ko Tournament ki pehli kamyabi ki talaash hai taakay is ke hauslay buland hosakin. Delhi IPL ke rawan 13 Season mein apne dono match jeetnay ke baad 4 nishanaat ke sath teamon ke jadole mein sare fehrist hai jabkay Hyderabad ki team apne dono muqablay harnay ke baad aathween number par hai. Delhi ne pehlay match mein Kings Xi Punjab ko ek super over mein shikast di thi aur aakhri match mein Chennai Super Kings maat di thi. Is ke bar aks Hyderabad ku pehlay Royal Challengers Bangalore ne 10 runs se aur aakhri match mein Kalkata knight Riders ne 7 wickets se shikast di hai. Delhi ke liye aakhri match mein un ke dono Openers Shikhar Dhawan aur Prithvi Shaw ne behtareen aghaz deya. Dhawan ne 35 aur Prithvi Shaw aur ne 64 runs banaye. Delhi ke liye Batman’s aur bowlers dono ne hi is match mein apna kirdaar bakhoobi ada kiya aur team bohat mutawazan nazar aarahi hai.

Wicket keeper Rishabh Pant ne bhi umdah batting ki. Delhi ki team ne ab tak shandaar karkardagi ka muzahira kiya hai aur usay Tournament mein apne daaway ko barqarar rakhnay ke liye fatohat ke silsila ko barqarar rakhna hoga. Agar Delhi apne aglay challenge ko ubur karti hai to woh jeet ki Hit Truck ko mukammal karle gi. Delhi ne Mahendra Singh Dhoni ki zair qayadat Chennai ki team ko mukammal tor par pust kardiya tha. Is match mein Delhi ke bowlers ne bhi umdah karkardagi ka muzahira kiya aur 176 runs ke score ku umdah difaa kiya. Delhi ke liye Kagiso Rabada ne ek martaba phir apni salahiyat ka muzahira kiya aur 4 overs mein 26 runs day kar 3 wickten haasil kee.

Kagiso Rabada aur Anrich Nortje ki fast bowlers ki jodi ne Chennai ko qaboo mein rakha aur inhen runs taiz karne ki ijazat nahi di. Anrich Nortje ne 2 wickten haasil ki theen. Agar un dono ki jodi apni taal mein rehti hai to phir yeh kisi bhi team ke liye pareshani ka baais ban sakti hai. Warner ko un se khaas tor par mohtaat rehna hoga. Tournament mein apni pehli jeet ki talaash mein masroof Hyderabad ke samnay 2 match jeetnay par pur josh Delhi ka Challenge hoga. Hyderabad ko KKR pichlle match se sabaq seekhnay hue apni batting par tawajah deeni hogi. Hyderabad ko darpaish sab se bada challenge is ka middle order ka ladkhdana hai. Hyderabad ke batsman KKR ke khilaaf nakaam rahay thay. Taham un ke liye yeh khushi ki baat hai ke top order batsman Manish Panday form mein aagaye hain aur unhoun ne Kalkata ke khilaaf sab se ziyada 51 runs banaye. Hyderabad mein Warner, John Bristow, Panday aur Mohammad Nabi jaisay achay batsman hain jo baday Score ki salahiyat rakhtay hain lekin inhen is format mein runs ki raftaar ku taiz karne ki ahmiyat ko samjhna hoga.

Warner ne Kalkata ke khilaaf zaroorat se ziyada ahthyat ka muzahira karne par apne batsmanon par sakht tanqeed ki thi aur yeh bhi kaha ke 35-36 dot gainden khail kar match nahi jeeta ja sakta. Hyderabad ne 20 overs mein 4 wicketon ke nuqsaan par 142 runs banaye thay jabkay Kalkata ne 18 over mein match jeet liya tha. Hyderabad ke Captain ne kaha tha ke batsmanon ko hareef bowlers par dabao daalna chahiye tha aur darmiyani overs mein baondri lagany chahiye thi. Captain ne kaha ke inhen bohat mayoosi hui hai ke un ke batsmanon ne ziyada dot ball khelain. Darmiyani overs mein 35. 36 dot ball khelain jo T20 cricket mein qabil qubool nahi hai. Batsmanon ko apna zehni nuqta nazar tabdeel karne ki zaroorat hai.

Hyderabad T20 format ke mutabiq khail ko agay badhana hoga. Delhi ke liye Hyderabad ko aasaan hareef tasawwur nahi karna chahye. Team ke Star league spinner Rashid Khan ko jald hi form mein wapas aana hoga aur team ke bowling shoba ko mazboot banana hoga. Khud ku Warner team ke liye Captain Inning khailnay ki zaroorat hai taakay middle order par dabao kam ho. Is match mein Delhi ko mazboot samjha ja raha hai lekin usay sabr-o-tahammul ke zareya Hyderabad ke challenge par qaboo paana hoga jo apni pehli kamyabi mein apni tamam tar tawanai sirf kere gi. Delhi ki ek ghalti Hyderabad ki raah aasaan karne mein muawin saabit hosakti hai jabkay Hyderabad ko pichli shikast ko bhula kar apni ghaltion se sabaq seekhnay ke baad tournament mein wapsi karna hogi.