Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadHyderabad ko Corona se aamdani mutaser hone walay shehron mein teesra maqam

Hyderabad ko Corona se aamdani mutaser hone walay shehron mein teesra maqam

Hyderabad: Aamdani mein kami aur qarzon ki adaigi ki salahiyat ke lehaaz se Corona wabai amraaz ke douran Hyderabad sab se ziyada mutasir honay wala teesra shehar hai jabkay is fehrist mein sab se pehlay Delhi. NCR aur Mumbai hain. Paisa bazaar ki ek report mein Hindustan ke 6 baday shehron mein Corona ke asraat jis mein khaas kar aamdani aur adaigon ko tarjeeh di gayi thi is mein Hyderabad ko teesra maqam mila hai jahan waba ke douran aamdani mutasir honay ke ilawa mahana aqsat ki adayigyan bhi mushkil tareen hui hain.

Is report mein qarz se nimatnay ka pehlu bhi ujagar kiya gaya. Hindustan mahana aqsat ki adaigi ke liye kis terhan mansoobah rakhta hai ke unwan ke tehat survey kiya gaya jis mein 24-57 saal ki omar ke taqreeban 88,500 afraad ne apni araadi hain. Un ka talluq 35 shehron se hai. Is survey mein hissa lainay walay Hyderabadi ke 63 feesad bashindon ne kaha hai ke corona ki wajah se un ki aamdani mutasir hui hai. 20 feesad afraad apni aamdani mukammal tor par kho baithy. Survey mein inkishaaf kiya gaya ke Hyderabad ke taqreeban 80 feesad rehaishi aur shehar se talluq rakhnay walay 58 feesad thankhowa daar tabqay ko aamdani ke khatam honay ka saamna karna pada.

Is Survey ke mutabiq 86 feesad se ziyada khud mulazimat walay afraad ne Covid pabandion ki wajah se aamdani mein nuqsaan ki ittila di. Agarchay wabai marz ke pehlay do teen mah wasee pemanay par assar pada tha liken July ke baad se kuch raahat naseeb hui hai. Safar, Hawabazi, Hotels waghera mein mulazimat ikhtiyar karne walay customer tabqaat ki aamdani batadreej bahaal hona shuru hui hai taham khud rozgaar aur kam aamdani walay tabqaat ko qarzon ki farahmi mein theek honay mein ziyada waqt lagey ga. Corona ki wajah se lockdown ki pabandion ne jahan mulazimaton aur tijarat ko band kardiya tha lekin ab mulazimaten bahaal honay aur duknanat ko khul jane ke bawajood zindagi sad feesad bahaal nahi hui hai, Jaisa ke mulazmeen ko poori tankhwahin di nahi jarhin jabkay dukanat aur tujar tabqa kaarobar ke nah honay ki shikayat kar raha hai.