Tuesday, May 21, 2024
HomeSliderHyderabad ko Bowling aur Dhoni ko batting shoba ka masla darpaish

Hyderabad ko Bowling aur Dhoni ko batting shoba ka masla darpaish

Dubai: IPL13 mein mustaqil tor par mayoosi ka shikaar Mahendra Singh Dhoni ki qayadat mein Chennai Super Kings ke liye mangal ko Sunrisers Hyderabad ke khilaaf IPL match mein aar paar ki jung hogi. Guzashta match mein Chennai Super Kings ko Bangalore ke khilaaf 37 runs ki shikast ka saamna karna pada tha jabkay Hyderabad ek sansani khaiz muqablay mein Rajasthan Royals ke khilaaf 5 wickets se shikast kha gaya tha. Chennai Super Kings Points Table mein 7 Matches mein 2 fatohaat aur 5 shikaston ke sath 4 Points ke sath 7 number par hai. Hyderabad ki Team 7 Matches mein 3 fatohat, 4 shikast ke baad 6 points ke sath 5 number par hai. Chennai ke Captain Dhoni ko Hyderabad ke khilaaf behtar khail aur shandaar karkardagi ka muzahira karna hoga kyunkay Tournament mein un ke nisf Match ho chuke hain aur usay Playoff jagah bananay ke liye anay walay Matches mein apne beshtar match jeetna hon ge. Chennai ke paas 7 match baqi hain aur aakhri 4 ki daud mein banay rehne ke liye kam az kam 6 match jeetnay hon ge.

Chennai ke liye un ki batting sab se badi pareshani ki baat hai jo musalsal nakaam rahi hai. Kolkata ke khilaaf 168 runs ke taqub mein Chennai ke batsman ne jis andaaz se mayoos kiya aur 10 runs se match haara is se Dhoni ke batting ki kami zahir hoti hai. Kolkata ke khilaaf sirf Shane Watson ne behtar karkardagi ka muzahira kiya lekin middle order batsman ki mayoos kun karkardagi ki wajah se Chennai ko match haarna pada. Royal Challengers Bangalore ke khilaaf 170 runs ke hadaf ke taqub mein Chennai ka batting shoba ladkhada gaya aur woh sirf 132 runs hi bana saka. Bangalore ke khilaaf match ke baad Captain Dhoni ne bhi aitraaf kiya ke un ki batting un ke liye pareshani ka baais bani hui hai.

Chennai ke paas Watson, Faf Du Plesis, Ambati Rayudu aur Dhoni jaisay azeem Batsman hai, Lekin yeh apni zimma daari poori karne mein nakaam rahay hain. Watson aur Du Plesis sirf ek ya do mawaqay par chal sakay thay lekin Dhoni ab tak apni karkardagi se team ko mutasir karne mein nakaam rahay hain. Dhoni ko jald hi apni form dobarah haasil karna hoga Hyderabad aur team ki jeet mein apna hissa ada karna hoga. Rayudu behtar batting kar rahay hain lekin inhen yeh samjhna hoga ke inhen aakhir tak reh kar kamyabi se apna kaam khatam karne ki zaroorat hai. Chennai ko Hyderabad ke khilaaf apni khamion ko dorkarna hoga kyunkay un ke liye is ke baad bohat der hojaye gi aur Playoff mein pohanchna aasaan nahi hai.

Chennai ko middle order mein khusoosi tawajah dainay ki zaroorat hai jo mustaqil tor par nakaam raha hai. Taham Bowling mein un ke bowler achi bowling kar rahay hain. Team mein Sam Curran, Deepak Chahar, Shardul Thakur, Dwayne Bravo aur Ravindra Jadeja jaisay bowler mojood hain jo kisi bhi team ko kam score par rokkk satke hain. Aakhri 2 Matches mein Bowlers ne apna kaam bakhoobi anjaam diya hai lekin team ko batsmanon ki nakami ka khumyaza bhughtna pada. Hyderabad Rajasthan ke khilaaf jeeta huwa match hargya. Usay aakhir mein bowler ki mayoos kun karkardagi se shikast ka saamna karna pada. Taham Hyderabad ne batting ke sath itminan bakhash karkardagi ka muzahira nahi kiya aur is ka aaghaz bohat hi sust tha. Hyderabad ko 10-15 runs kam bananay ka khumyaza bhughtna pada.

Warner ko apni bowling ko bohat behtar banana hoga aur un ke batsmanon ko samjhna hoga ke T20 format mein ziyada waqt nahi liya ja sakta. Hyderabad mein Warner, Jonny Bariastow, Manish Panday, Kane Williamson aur Priyam Garg jaisay shandaar batsman hain jo kisi bhi lamhay khail ko modnay ki salahiyat rakhtay hain. Un batsmanon mein, Bariastow, Warner aur Panday apni form mein Chennai ke liye khatrah ban satke hain lekin Hyderabad ko apni bowling mein taiz raftaar aur mustaqil mizaji barqarar rakhna hogi. Is season ke record ke mutabiq dono teamon ke mabain match mein Hyderabad ka palra bhaari hai lekin is se inkaar nahi kiya ja sakta hai ke Hyderabad aur Chennai apne sabiq match haar chuke hain aur dono ke hauslay kisi qadar sust hain. Dono teamon ke paas wapsi ka behtar mauqa rahay ga.