Monday, April 21, 2025
HomeLatest NewsHyderabad Ko Aaindah Chand Dino Mein Shadeed Aabi Bohraan Ka Khadsha

Hyderabad Ko Aaindah Chand Dino Mein Shadeed Aabi Bohraan Ka Khadsha

Hyderabad: Mausam garma urooj par hai aur mah-e-mubarak Ramadan ki aamad aamad hai lekin Hyderabad ko aabi bohraan ka saamna karna padh sakta hai kyunkay dariya-e-Krishna aur Godavari   ke taas mein pani ki satah kam horahee hai is ke alawa Hyderabad ko jin aabi zakhair se pani faraham kiya jata hai unmein Himayatsagar, Osmaansagar aur Singoor mein bhi aabi satah kam se kam pani ke nishaan se neechay aa gayi hai .

Hyderabad ko jin aabi zakhair se pani faraham kiya jata hai un mein dariya-e-Krishna ke taas se Srisailam dam mein kam se kam pani ki jo satah 815 feet hai yahan guzashta roz pani ki satah 808.5 feet record ki gayi hai. isi tarha  dosray aabi zakhair Nagarjuna Sagar mein bhi kam se kam pani ki satah mein kami dekhi gayi hai jaissa ke yahan kam se kam pani ki satah 511 feet record ki gayi hai halaanke iski kam se kam miqdaar 590 foot hai. mazkoorah dono aabi zakhair jahan se Hyderabad ko pani faraham Kiya jata hai ab yahan chand dino ka pani hi baqi reh gaya hai kyunkay Nagarjuna Sagar aur Srisailam se pani hyderabad ke ilawa Nalgonda ko bhi faraham Kiya jata hai .

Aabi zakhair mein pani ki kami ki ek ahem wajah dariya-e-Krishna aur Godavari  ke taas mein aabi ravani mein kami hai jaissa ke riyasat Karnataka ke jorala aur Tungabadhra jo ke dariya-e-Krishna ke taas ke zareya pani haasil karta hai yahan ki majmoi gunjaish 79.6 feet hai lekin ab is mein pani 1.93 TMC feet baqi reh gaya hai. Hukkam ney kaha hai ke Nagarjuna Sagar aur Srisailam mein jo pani ki satah hai is se Hyderabad aur Nalgonda ke awam ko chand din tak faraham Kiya ja sakta hai. isi tarha  dariya-e-Godavari   ke taas mein bhi pani ki satah giravat ka shikaar hai, yahan pani ki jumla gunjaish ki satah 779 TMC feet hai lekin ab moujooda pani ki satah 208 MC set hi baqi hai. dariya-e-Godavari   ke taas ke zariye Singoor dam banaya gaya hai jo Hyderabad ko pani faraham karne ka markazi zareya hai yahan bhi majmoi gunjaish 30 TMC feet mein mojooda pani ki satah 0.77 TMC feet hi reh gayi hai .

Godavari   taas ke tehat mojood Nizaamsagar, Sri Ram sagar, Lower Meem dam kudam aur sri Pada alampalli ke aabi zakhair mein bhi pani ki satah bohat neechay ja chuki hai kyunkay un aabi zakhair mein bhi majmoi gunjaish ka ab sirf 20 feesad pani hi baqi reh gaya hai. hyderabad ke alawa aabi bohraan ka shikaar Telangana ke shumali azlaa hunge jin mein Nizaambad, Warangal Kareemnagar aur Godavari   qabil-e-zikar hain. krishna river Management board ke ohdedaron ney kaha hai ke woh dariya-e-Krishna ke taas ke zariye mojood aabi zakhair mein dastiyab pani ki gunjaish ka qareebi jaiza le rahay hain taakay Telangana mein peenay ke pani ki sarbarahi ke qatee iqdamaat kiye ja saken . –YTN STAFF