Tuesday, May 13, 2025
HomeHyderabadHyderabad Ki Tareekhi Imaratein , Ek Baad Ek Hukoomat Ke Nishanay...

Hyderabad Ki Tareekhi Imaratein , Ek Baad Ek Hukoomat Ke Nishanay Par

Hyderabad : Telangana hukoomat jis ne awam ke liye kayi ek Falah wo behbood ke kaam kiye hain jiski badolat reyasti awam ne usay dobarah Iqtidaar ki kursi par bithaya hai lekin hukoomat ke kuch mutanazia faisloun se aisa lagta hai ke TRS hukoomat hyderabad ki tahazeeb aur khaas kar yahan ki qadeem imaartoun aur maqamat ki mukhalif hai kyunkay aaye din iske faislay aisay hotay hain jo ke hyderabad ki sadiiyon qadeem tahazeeb ke nuqoosh ko mitanay ki saazish lagtay hai. hukoomat ki janib se haliya arsay mein hyderabad ki kayi ahem imaartoun ko nishana banaya gaya hai jis ki taaza tareen misaal Erum manzil hai.

Tareekhi imarat Erum manzil is waqt Telangana hukoomat ke nishanay par hai jahan hukoomat assembly complex bananay ki khwaahan hai. iske liye hukoomat ne adalat mein kayi ek muaqqaf ikhtiyar kiye hain. Telangana hukoomat ka kehna hai ke yeh tareekhi imarat heritage imaartoun mein shaamil nahi lehaza usay munhadim karne ke liye heritage conservation committee se ijazat lainay ki zaroorat bhi nahi hai. assembly complex bananay ke liye Erum manzil ko Telangana hukoomat jo bahana bana rahi hai is ke liye is ne yeh muaqqaf ikhtiyar kya hai ke is waqt jo assembly ki imarat hai is ki aahak pashi aur nighdasht ke liye bohat ziyada kharch ho raha hai is ke alawa mojooda imarat mein kayi ek hifazati intizamaa bhi miyaar ke mutabiq nahi hain aur khaas kar aatishzadgi ke waqeat se nimatnay ke liye is mein behtar intizamaa mojood nahi hain.

Hyderabad ke Asifjahi daur mein taamer kardah aalishaan imaarton mein Erum manzil ko ek infiradi maqam haasil hai yeh imarat sabiq riyasat hyderabad ke ek Ameer nawab fakhr al mulk ne 1870 mein taamer karwai thi. wasee wo Areez Raqba par phailay hue is azeem-u-shan mehal mein jumla 150 kamray aur uskay ke aqab mein baaghaat polo aur golf ke maidanoun ki bhi taamer ki gayi thi. hyderabad ki tareekhi imaartoun mein ek sang mil samjhay jane wali Erum manzil ki jagah par Telangana assembly ki nai imarat ke liye chief minister KCR ne bhomi pooja ki hai. Erum manzil ke maalik nawab fakhr al mulk ke wariseen ne hukoomat ke faislay par shadeed gham wo ghussa ka izhaar kiya hai. faislay ko wapas lainay ki appeal ki hai.

Telangana hukoomat ki janib se tareekhi imarat ko munhadim karne ki yeh pehli koshish nahi balkay haliya barson mein hukoomat ki janib se ki ek tareekhi aur tehzibi virsa ki nishanain jo imaarton ki shakal mein mein aaj bhi hyderabad ki tahazeeb ki jeeti jaagti tasaveer hain inhen khatam karne ki koshish ki gayi hai, jis mein khaas kar Osmania dawakhana bhi shaamil hai hai jis ke mutaliq bhi hukoomat ne sakht rawayya ikhtiyar karte hue usay bhi munhadim karne ki koshish ki thi lekin mukhalfat ki wajah se yeh maamla fil haal barf daan ki nazar hua hai.

Imaarton ke alawa khaali maidan bhi hukoomat ke nishanay par hain yahi wajah hai ke Telangana hukoomat ki janib se parade ground par bhi imaratein  taamer karne ki koshish ki gayi thi jis ki bhi mukhalfat karte hue is muamlay ko roka gaya hai. agar hukoomat hyderabad ki tareekhi imaarton ko nishana banatay hue inhen munhadim karne ke baraks un maqamat ki nishandahi kare to ziyada munasib hoga jahan haliya barson ke douran sarkari mehakmon mein mulaazmaten anjaam dainay walon ke liye rehaishi complex faraham kiye gay they lekin kayi ek aisay maqamat mojood hain jahan ab darjanon rehaishi complex weraan pade hain agar un zamiinon ko istemaal kiya jaye to nah sirf hukoomat ke mansoobon par amal aawri mumkin hogi balkay hyderabad ki tareekhi aur saqafati imaarton ki baqa bhi bhi hojayegi. –YTN STAFF