Sunday, April 20, 2025
HomeHyderabadHyderabad ki tareekh mein sab se ziyada barish Record ki gayi

Hyderabad ki tareekh mein sab se ziyada barish Record ki gayi

Hyderabad: Hyderabad shehar mein guzashta 24 ghanton mein 192 millimeter ( 19.2 Centimeter ) barish Record ki gayi. Sab se ziyada barish 2013 mein October ke mahinay mein 98.3 Millimeter Record ki gayi thi mosmiyat ke mutabiq, 1903 mein Hyderabad mein is qader barish hui thi.

Shehar ke mukhtalif ilaqon mein barish ka pani ghar mein daakhil hogaya. Gadiyaan kayi maqamat par doob gayeen. Hayathanagar mein sab se ziyada 29 Centimeter barish Record ki gayi. Riyasat Telangana mein ghair mamooli baarisho ke nateejay mein tabah kun nataij ke sath takhilati selaab aaya hai.

Budh ki raat 12 bajey tak shehar mein shadeed barish ke baais 13 afraad halaak hogaye thay. Ghaose nagar mein makaan ki chhat girnay se 3 bachon samait 8 afraad ki mout hogayi. Shamshabad ke Gaganpahad mein mangal ki raat ek makaan ki deewar girnay se 3 afraad halaak hogaye. Ek aur waqea mein Chandrayangutta ke phoolbagh mein mangal ki raat 2 afraad deewar girnay se halaak hogaye thay.

Telangana reyasti hukoomat ne 14 November aur 15 october ko honay wali barish ke paish e nazar chhutti ka elaan kya hai tamam niji idaron, dafatir ko home aydwayzri se kaam ke sath ghair zaroori khidmaat ke liye kya hai. logon ko ghar ke andar hi rehne ka mahswara diya gaya hai jab tak ke yeh koi hungami sorat e haal nah ho.

Darin asna markazi mumlikati wazeer-e-dakhila Kishan Reddy ne shehriyan Hyderabad se darkhwast ki ke woh chokas rahen aur 2 dinon tak apne gharon se baher nah nikleen. Unhoun ne apne Tweet mein shehrion se Appeal ki ke woh munasib ahthyat karen aur barish ke pesh-e-nazar gharon se nah nikleen. Unhoun ne kaha ke nashebi ilaqon ke awam chokas rahen. Manholes, Naalon ke qareeb rehne walay aur barish se mutasirah ilaqon ke awam chokas rahen. Raza karana tanzeemon aur nojawanon ko chahiye ke woh apne mutaliqa ilaqon mein ohdedaron ke sath milkar taoon karen. Hyderabad mein shadeed barish ke pesh-e-nazar reyasti hukoomat ne pehlay hi 2 dinon ki tateel ka elaan kardiya. Yeh tateel Outer Ring Road ke hudood ke tamam khangi idaron, Daftar ku di gayi. Arvind Kumar Principal Secretary baldi nazm-o-nasq Arvind Kumar ne is baat ka elaan kiya hai. Awam ko mashwara diya gaya hai ke woh gharon se hi kaam karen.