Thursday, May 16, 2024
HomeHyderabadHyderabad ki sadkon par badhatay hadsaat tashweesh naak

Hyderabad ki sadkon par badhatay hadsaat tashweesh naak

Hyderabad: Guzashta chand dinon se donu shehron mein taiz aur mosla dhaar barish ne jahan sadkon ko talabon aur jheelon mein tabdeel kardiya wahein hyderabad mein badhatay sadak hadsaat mein bhi izafah huwa hai aur ab sirf 2 hafton mein hue hadsaat ki Report samnay aayi hai. Tafseelaat ke bamujab guzashta ek hafta ke douran Cyberabad mein mukhtalif sadkon par jumla 70 hadsaat hue jin mein 13 afraad ki halakaton aur ghaflat baratnay wali Driving ziyada se ziyada hadsaat ki badi wajohaat mein shaamil hai.

Cyberabad Traffic Police ke mutabiq, Lane nazam-o-zabt ki khilaaf warzi, Jis mein Motor sawaron ne achanak taiz raftaar se lane ko Indicator ke isharay ke baghair agay bhad ne ke ilawa agay aur peechay traffic par tawajah diye baghair aur noshi ke sath Driving doosri ahem wajohaat hain. Hukkaam ne kaha hai ke 70 sadak hadso mein se 12 mohlik aur 58 ghair mohlik thay. 7 se 13 September ke darmiyan honay walay un hadsaat mein majmoi tor par 77 afraad zakhmi hue jabkay un mein se 13 apni zindagi se haath dho baithy.

Police ke mutabiq, Hadsaat ki doosri wajah mobile phone par baat karte hue ya gaadi mein sawaar deegar afraad ke sath ke sath guftagu mein masroof rehna hai. Cyberabad Traffic Police ke ek Senior ohdedar ne kaha hai ke hadsaat ke peechay deegar awamil khatarnaak maqamat par gadiyaan khadi karna bhi hai jabkay ek ahem wajah nashay mein gaadi chalana hai. Un hadsaat mein mutasireen mein 14 paidal chalne walay aur 30 Motorcycles sawaar shaamil hain. Motorcycles mein shaamil amwaat ki sab se ziyada tadaad Bike par peechay bethnay walay ki janib se munasib Helmet nah pehnana bhi shaamil hai. Ziyada tar hadsaat badi sadkon par hue hain.

Maazi ke muqablay mein, Ab sadak ke hadsaat badh rahay hain. Adaad-o-shumaar se saaf zahir hota hai ke tassadum ki noiyat ke hawalay se, Peechay se takrao ke sabab badi tadaad mein hadsaat runuma ho rahay hain. Ek ahem pehlu yeh hai ke gadiyon mein Rear view mirror ki adam mojoodgi aur agar woh mojood hain bhi to Drivers ko un ke istemaal karne ki aadat nahi hona bhi hadsaat ki wajah hain. Police logon ko Driving qawaid-o-zawabit par ziyada sanjeeda honay ka mashwara deti hai taakay hadsaat se bacha jasakay. Inhen Driving par ziyada tawajah deeni chahiye aur doosri sar garmion ko gaadi chillate waqt nazar andaaz karna hoga. Pata chala hai ke ziyada tar hadsaat insani ghalti ki wajah se runuma hotay hain. Rawan mah 7 se 13 September ke darmiyan Motorcycles mein shaamil 34 hadso ke nateejay mein 39 afraad zakhmi hue aur 7 jaanen zaya hogai. Zakhmion mein se ziyada tar afraad ne helmet nahi pehna tha.