Dubai: Faisla kun marhalay par Rajasthan Royals aur Sunrisers Hyderabad jumaraat ko IPL ke Playoff mein apni umedon ko barqarar rakhnay ke iraday se match mein utrain ge. Rajasthan 10 matches mein 4 fatohat, 6 nakamiyoo aur 8 nishanaat ke sath chhatay maqam par hai jabkay Hyderabad 9 matches mein 3 fatohat aur 6 nakamiyoo se 6 nishanaat ke sath satwen number par hai. Yeh match dono teams ke liye ahem hai aur faateh team ko Playoff tawaquaat barqarar rakhnay mein madad miley gi hai. Shikast bardasht karne wali team ke liye agay ka safar mushkil hojaye ga.
Dono teamon ne ab tak utaar chadao ka muzahira kiya hai aur kuch qareebi match gawaion hain. Yahan se dono teams ke liye har match jeetna zaroori hai. Agar dono teams 14 nishanaat tak bhi pahonch jati hain to phir inhen apne net run rate ko bhi dekhna hoga. Agar 3 teams 14 nishanaat ke sath chouthay maqam par rahen to sirf behtar run rate ke sath team Playoff mein pahonch sakti hain.
Rajasthan ka is match ke liye hauslay buland rahay ga kyunkay unhoun ne apne sabiq match mein Chennai Super Kings ko ba aasani 7 wicketon se shikast di hai. Rajasthan ne apne Spinners ki umdah karkardagi ke sabab Chennai ko 5 wicket par 125 ke mamooli score par roknay ke baad 17.3 over mein 3 wicket par 126 run banaye thay. Jos Buttler ne sirf 48 gaindon par 7 chowkun aur 2 chakkon ki madad se na qabil-e-shikast 70 runs banaye aur team ko aasaan kamyabi dilaye.
Rajasthan ke Captain Steven Smith ne is kamyabi ke liye apne nojawan khiladion ki tareef karte hue kaha ke Rahul Tewatia aur Suresh Gopal team ke liye bohat achay rahay hain. Jos buttler ne mujh se dabao hataya aur isi terhan batting ki jis terhan woh karte hain. Butler hamesha achay Strike rate par batting karte hain.
Doosri janib Hyderabad apna aakhri match Abu Dhabi mein ek super over mein Kolkata Knight Riders ke khilaaf ganwaa betha hai. Kolkata ke 5 wicket par 163 runs thay jabkay Hyderabad 6 wickets par 163 runs bananay mein kamyaab raha tha. Hyderabad super over mein barqarar nah reh saka aur sirf 2 runs bana saka. Kolkata ne 4 gaindon par 3 run bana kar match jeet liya. Hyderabad ke captain David Warner shikast se mayoos hue thay. Is IPL mein dono teams ka 11 October ko Dubai mein match khela gaya tha jis mein Rajasthan ne 5 wickets se kamyabi haasil ki thi. Hyderabad ne chaar wicket par 158 run banaye thay jabkay Rajasthan ne 19.5 over mein 5 wicket par 163 runs bana kar match jeet liya tha. Dono teams ek baar phir Dubai mein aamnay samnay hon gi aur Playoff mein apni umedon ko barqarar rakhnay ke liye be taab nazar ayen gi.