Friday, May 17, 2024
HomeHyderabadHyderabad Ki Fizai Aloodgi Mein Itminan Bakhash Had Tak Kami

Hyderabad Ki Fizai Aloodgi Mein Itminan Bakhash Had Tak Kami

Hyderabad: Shehr-e- Hyderabad mein in dino mausam garma apne urooj par hai. garam hawaon aur taiz dhoop ki wajah se awam ko pareshani ho rahi hai lekin is garam mausam mein Hyderabad awam ke liye yeh khushkhabri bhi hai ke guzishta chand mah ke douran shehar ki fizai aloodgi mein itminan bakhash satah tak kami aayi hai .

Telangana state Pollution control board ( TSPCB ) ki janib se guzishta baras mahe November taa rawan baras mahe April ke pehlay haftay tak ke adaad wo shumaar jari kiye gay hain jis mein shehar hyderabad ke chand ahem maqamat jin mein Balnagar, Madhapur, Zoopark, sanat nagar, Uppal, Hyderabad central university aur Mahatma Gandhi bus station qabile zikar hain, un maqamat par guzishta chand mah ke douran fizai aloodgi ki satah ki jo pemaiesh ki gayi hai is mein itminan bakhash satah tak kami waqay hui hai .

Yahan is baat ka tazkara bhi ahem hai ke shehar mein fizai aloodgi ki pemaiesh ke liye air quality index ( AQI ) mojood hai aur is fehrist mein 0 taa 50 ka miyaar behtar fizai mahol tasawwur kiya jata hai jabkay 51 taa 100 ke darmiyan ki pemaiesh itminan bakhash miaar tasawwur ki jati hai aur agar fizai aloodgi ki pemaiesh 201 taa 300 ke darmiyan hojaye to yeh phir naaqis fazai mahol tasawwur kiya jata hai lekin Hyderabad ke beshtar maqamat par fiazai aloodgi jo ziyada se ziyada 234 tak pohanch chuki thi ab woh ghatt kar 104 aur baaz maqamat par 69 tak bhi pohanch chuki hai .

Zoopark ke paas ke ilaaqon ki fizai aloodgi sab se ziyada sangeen sorat e haal ikhtiyar kar chuki thi, yahan guzishta baras decemeber mein fizai aloodgi ki pemaiesh 87 darj ki gayi thi lekin April ke pehlay haftay mein yeh aloodgi kam honay ke baad 103 darjay par pohanchi hai, isi tarha sanat nagar mein decemeber mein fazai aloodgi 202 darj ki gayi thi lekin April mein yeh 69 hi darj hui hai. alawa azeen Balnagar woh maqam hai jahan kayi ek sanaten qaim hain, yahan bhi guzishta chand mah ke douran fizai aloodgi ka record ziyada se ziyada 182 darj kiya gaya tha lekin April mein yeh 170 tak pohanch chuka hai .

Shehron mein mausam sarma mein fizai aloodgi mein izafah hota hai jis ki ahem wajah hawa mein kuhar aur shabnam ka shaamil jana hai. jab ke mausam garma mein fizai aloodgi mein kami waqay hoti hai, is martaba mausam garma mein fazai aloodgi mein itminan bakhash satah tak giravat ki asal wajah haliya dinon mein shehar Hyderabad mein honay wali ghari mousami barishain bhi hain. kyunkay un baarisho ke pani ki wajah se satah zameen par fizai aloodgi mein izafah karne wali ashya beh kar bhi chalay gay hain jis se Hyderabad ki hawa mein taazgee aayi hai .- YTN STAFF