Hyderabad: Shehar Hyderabad ke cyberabad police Commissioner ke hudood mein 26 saala Veterinary Dr. ki ijtimai esmatdarri ke baad is ke qatal aur laash ko chaledene ki waardaat mein mulawis mulzamin ki enounterr mein halakat ke maamla ki samaat karne ki Supreme court ne razamandi zahir ki. Is enounter par sawal uthatay hue ye arzi daakhil ki gayi thi jis ki samaat 11 decemeber ko ki jaye gi.
is encounter ki tehqiqaat ke liye hukoomat ki janib se khusoosi jaanch team ( SIT ) tashkeel di gayi hai. Rachkonda commissioner Mahish Bhagwat ki qayadat mein ye team kaam kere gi. Hyderabad encounter par sawal uthatay hue wukla GS Mani, ML Sharma ne adalat-e-uzma mein do alaheda arziyan daakhil ki hain.
Cyberabad police commissioner Sajjanar sameit encounter mein hissa lainay walay mulazmeen police ke khilaaf dafaa 302 ke tehat FIR darj karne ki un arzeyiou mein mulk ki sarkardah adalat se khwahish ki gayi hai. Un arzeyoun mein nishandahi ki gayi hai ke qabal azeen Supreme court ki janib se jari kardah 16 renumayana khutoot ki sareha khilaaf warzi karte hue kiye gaye is encounter ki azadana theqiqaat karwane ki khwahish ki gayi hai. Un arzeyoun mein markazi hukoomat, Telangana hukoomat ko mudda aleh banatay hue mukammal record ka jaiza lainay ki adalat se khwahish ki gayi hai. –YTN STAFF